Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai, Urdu Ghazal By Uvais Girach

Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Uvais Girach. Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی جو ویرانیوں میں دیکھا گھنا سا اک بھی شجر نہیں ہے

اویس گراچ

کبھی جو ویرانیوں میں دیکھا گھنا سا اک بھی شجر نہیں ہے

شجر بھی ایسے ہیں دیکھ رکھے کہ جس میں کوئی ثمر نہیں ہے

سبھی نظارے مری نظر میں غبار بن کر سمٹ گئے ہیں

تجھے نہ آیا نظر تو شاید نظر میں تیری اثر نہیں ہے

عجیب ہوگی ہوا کی صورت غضب کی ہوگی ہوا کی رنگت

تجھے بھی اس کا پتہ نہیں ہے مجھے بھی اس کی خبر نہیں ہے

وہ آسماں کا بلند منظر یہ فرش کی وسعتوں کو دیکھو

یہاں تو سب کچھ بشر بشر ہے وہاں پہ کوئی بشر نہیں ہے

یہ میری آنکھیں ہیں ان میں دیکھو سمندروں کی روانیاں ہیں

تو دیکھ سکتا انہیں مسلسل جنون تجھ میں مگر نہیں ہے

فلک کے اوپر ہے چاند روشن زمین پر آفتاب روشن

فلک کے اوپر شجر نہیں ہے زمیں کے اوپر قمر نہیں ہے

کئی اجالے ہیں دن میں رہتے کئی اجالے ہیں شب کے اندر

وہ چاند تارے یہاں نہیں ہے ادھر جو ہے وہ ادھر نہیں ہے

اویس گراچ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai

Uvais Girach

kabhi jo viraniyon mein dekha ghana sa ek bhi shajar nahin hai
shajar bhi aise hain dekh rakkhe ki jis mein koi samar nahin hai

sabhi nazare meri nazar mein ghubar ban kar simaT gae hain
tujhe na aaya nazar to shayad nazar mein teri asar nahin hai

ajib hogi hawa ki surat ghazab ki hogi hawa ki rangat
tujhe bhi is ka pata nahin hai mujhe bhi is ki KHabar nahin hai

wo aasman ka buland manzar ye farsh ki wusaton ko dekho
yahan to sab kuchh bashar bashar hai wahan pe koi bashar nahin hai

ye meri aankhen hain in mein dekho samundaron ki rawaniyan hain
tu dekh sakta inhen musalsal junun tujh mein magar nahin hai

falak ke upar hai chand raushan zamin par aaftab raushan
falak ke upar shajar nahin hai zamin ke upar qamar nahin hai

kai ujale hain din mein rahte kai ujale hain shab ke andar
wo chand tare yahan nahin hai idhar jo hai wo udhar nahin hai

(205) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai written by Uvais Girach at UrduPoint. Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai is one of the masterpieces written by Uvais Girach. You can also find the complete poetry collection of Uvais Girach by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Uvais Girach' above.

Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Jo Viraniyon Mein Dekha Ghana Sa Ek Bhi Shajar Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.