Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein, Urdu Ghazal By Vafa Barahi

Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Vafa Barahi. Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تاب نظر کی قید ہے سخت حریم ذات میں

وفا براہی

تاب نظر کی قید ہے سخت حریم ذات میں

دیکھوں کسی کو ہر گھڑی بزم تصورات میں

سہمی ہوئی اجل رہے تیرے حریم ذات میں

ہوش سے کام لے اگر کار گہہ حیات میں

درس حیات ڈھونڈ لو اپنی حسیں صفات میں

دیکھو جمال زندگی ذرۂ کائنات میں

لاؤں کہاں سے تاب غم عشق کی کائنات میں

جلوے تڑپ کے رہ گئے محفل التفات میں

بزم نشاط دیکھ کر رقصاں ہے لطف زندگی

رنج و الم خجل ہیں کیوں اپنے حریم ذات میں

ناز سے کام لیجئے جلووں سے آپ کھیلئے

خود کو فنا نہ کیجئے دل کی تجلیات میں

لطف ستم نہ پوچھئے حسرت دل نہ جانچئے

ذوق جنوں بھی گم ہوا شوق مشاہدات میں

ہستیٔ گم شدہ کے ساتھ درد و الم کی جستجو

جلوے کو پیچ و تاب ہے حسن کی کائنات میں

کہتے ہیں جس کو موت سب جانئے اس کو زندگی

اس میں چھپی حیات ہے وہ ہے چھپی حیات میں

پیکر درد بن کے بھی آیا ہے کوئی بار بار

میرے تصورات میں میرے تخیلات میں

ان کی نظر کی قید کیا اپنی نظر کی شرط کیا

جلوہ بھی گم رہا مگر اپنی تجلیات میں

مجھ کو وفاؔ سے ربط ہے تجھ کو وفاؔ سے احتراز

یہ ہے مری سرشت میں وہ ہے تری صفات میں

وفا براہی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein

Vafa Barahi

tab-e-nazar ki qaid hai saKHt harim-e-zat mein
dekhun kisi ko har ghaDi bazm-e-tasawwuraat mein

sahmi hui ajal rahe tere harim-e-zat mein
hosh se kaam le agar kar-gah-hayat mein

dars-e-hayat DhunD lo apni hasin sifat mein
dekho jamal-e-zindagi zarra-e-kaenat mein

laun kahan se tab-e-gham ishq ki kaenat mein
jalwe taDap ke rah gae mahfil-e-iltifat mein

bazm-e-nashat dekh kar raqsan hai lutf-e-zindagi
ranj-o-alam KHajil hain kyon apne harim-e-zat mein

naz se kaam lijiye jalwon se aap kheliye
KHud ko fana na kijiye dil ki tajalliyat mein

lutf-e-sitam na puchhiye hasrat-e-dil na jaanchiye
zauq-e-junun bhi gum hua shauq-e-mushahidat mein

hasti-e-gum-shuda ke sath dard-o-alam ki justuju
jalwe ko pech-o-tab hai husn ki kaenat mein

kahte hain jis ko maut sab jaaniye us ko zindagi
us mein chhupi hayat hai wo hai chhupi hayat mein

paikar-e-dard ban ke bhi aaya hai koi bar-bar
mere tasawwuraat mein mere taKHaiyyulat mein

un ki nazar ki qaid kya apni nazar ki shart kya
jalwa bhi gum raha magar apni tajalliyat mein

mujh ko 'wafa' se rabt hai tujh ko 'wafa' se ehtiraaz
ye hai meri sarisht mein wo hai teri sifat mein

(229) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein written by Vafa Barahi at UrduPoint. Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein is one of the masterpieces written by Vafa Barahi. You can also find the complete poetry collection of Vafa Barahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Vafa Barahi' above.

Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tab-e-nazar Ki Qaid Hai SaKHt Harim-e-zat Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.