Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho, Urdu Ghazal By Vazahat Nseem
Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Vazahat Nseem. Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho on this page of UrduPoint.
کہاں ہوا کے مخالف ہیں بادبان کہو
وضاحت نسیم
کہاں ہوا کے مخالف ہیں بادبان کہو
کہیں ملے ہیں محبت کو سائبان کہو
نہ گل کہو نہ ستارہ کہو نہ جان کہو
میں ایک لمحہ ہوں مجھ کو فقط گمان کہو
جو صورتیں نظر آتی ہیں خواب ہستی میں
وہ اصل میں کبھی ہوتی ہیں مہربان کہو
میں منفرد تو نہیں ہوں مگر تمہارا غم
پلک تک آنے نہ دوں مجھ کو راز داں کہو
وہ ایک شخص کہ جو حاصل محبت ہے
اسی کو وقت سخن حاصل بیان کہو
جو لوح دل پہ ہیں محفوظ چند تحریریں
انہی حروف میں الفت کی داستان کہو
ہزار طرح تو ہم لوگ آزمائے گئے
اب اور کون سا رہتا ہے امتحان کہو
سواد شام میں شاعر مزاج لوگ اگر
فسردہ دل نظر آئیں تو شادمان کہو
نسیمؔ صبح طرب جب چمن میں تم آؤ
گلوں کی تازہ مہک کو خدا کی شان کہو
وضاحت نسیم
© UrduPoint.com
All Rights Reserved
Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho
Vazahat Nseem
kahin mile hain mohabbat ko saeban kaho
na gul kaho na sitara kaho na jaan kaho
main ek lamha hun mujh ko faqat guman kaho
jo suraten nazar aati hain KHwab-e-hasti mein
wo asl mein kabhi hoti hain mehrban kaho
main munfarid to nahin hun magar tumhaara gham
palak tak aane na dun mujh ko raazdan kaho
wo ek shaKHs ki jo hasil-e-mohabbat hai
usi ko waqt-e-suKHan hasil-e-bayan kaho
jo lauh-e-dil pe hain mahfuz chand tahriren
unhi huruf mein ulfat ki dastan kaho
hazar tarah to hum log aazmae gae
ab aur kaun sa rahta hai imtihan kaho
sawad-e-sham mein shair-mizaj log agar
fasurda-dil nazar aaen to shadman kaho
'nasim' subh-e-tarab jab chaman mein tum aao
gulon ki taza mahak ko KHuda ki shan kaho
(647) ووٹ وصول ہوئے
Related Vazahat Nseem Poetry
More Vazahat Nseem Poetry
پرکھ سکو تو محبت کا اک مزاج ہیں ہم
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Parakh Sako To Mohabbat Ka Ek Mizaj Hain Hum
دل اتنی کشاکش سے نکل جائے تو اچھا
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Dil Itni Kashakash Se Nikal Jae To Achchha
کہاں ہوا کے مخالف ہیں بادبان کہو
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Kahan Hawa Ke Mukhaalif Hain Baadban Kaho
معمول
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Mamul
دل و نگاہ کو کب ان کا مستقر جانا
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Dil-o-nigah Ko Kab In Ka Mustaqar Jaana
سوال شام پہ آیا جواب شب آخر
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Sawal-e-sham Pe Aaya Jawab-e-shab Aakhir
تیرے دل سے اگر اتر جائیں
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Tere Dil Se Agar Utar Jaen
ہمیں اپنی ذات سے عشق ہوا ہم اپنے لئے بیتاب ہوئے
Vazahat Nseem - وضاحت نسیم
Hamein Apni Zat Se Ishq Hua Hum Apne Liye Betab Hue
You can read Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho written by Vazahat Nseem at UrduPoint. Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho is one of the masterpieces written by Vazahat Nseem. You can also find the complete poetry collection of Vazahat Nseem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Vazahat Nseem' above.
Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Hawa Ke MuKhaalif Hain Baadban Kaho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.
You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.