Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur, Urdu Ghazal By Wali Ul Haq Ansari

Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Wali Ul Haq Ansari. Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قرب اس کا دل زار کو تڑپائے ہے کچھ اور

ولی الحق انصاری

قرب اس کا دل زار کو تڑپائے ہے کچھ اور

ہے درد وہ درماں سے جو بڑھ جائے ہے کچھ اور

کیا ہے یہ طلسمات جہاں عقل ہے سردار

ہے اصل میں کچھ اور نظر آئے ہے کچھ اور

سرد آہوں سے مظلوموں کی تڑپے ہے دل زار

چلنے سے ہوا غنچہ یہ مرجھائے ہے کچھ اور

لذت تری شیریں سخنی میں بھی ہے لیکن

دل تلخیٔ دوراں میں مزا پائے ہے کچھ اور

بس کر نگہ ناز تری تاب نہیں اب

یہ لطف دل زار کو تڑپائے ہے کچھ اور

شوریدگی دل کا ہے عالم ہی نرالا

رنگ اب کی بہاراں میں جنوں لائے ہے کچھ اور

بڑھتا ہے جنوں وادئ الفت میں زیادہ

اس دشت میں تلوا مرا کھجلائے ہے کچھ اور

اس پر بھی کبھی ہوگی نگاہ کرم یار

دل اس کے تصور سے ہی اترائے ہے کچھ اور

اکثر نگہ قہر کے صدمے سہے لیکن

تیری نگہ لطف ستم ڈھائے ہے کچھ اور

عقدہ نہ حقیقت کا کھلے دست خرد سے

سلجھانے سے گتھی یہ الجھ جائے ہے کچھ اور

جتنی اسے بہلانے کی کرتے ہیں سعی لوگ

دل اپنا ولیؔ اتنا ہی گھبرائے ہے کچھ اور

ولی الحق انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur

Wali Ul Haq Ansari

qurb us ka dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur
hai dard wo darman se jo baDh jae hai kuchh aur

kya hai ye tilismat jahan aql hai sardar
hai asl mein kuchh aur nazar aae hai kuchh aur

sard aahon se mazlumon ki taDpe hai dil-e-zar
chalne se hua ghuncha ye murjhae hai kuchh aur

lazzat teri shirin-suKHani mein bhi hai lekin
dil talKHi-e-dauran mein maza pae hai kuchh aur

bas kar nigah-e-naz teri tab nahin ab
ye lutf dil-e-zar ko taDpae hai kuchh aur

shoridgi-e-dil ka hai aalam hi nirala
rang ab ki bahaaran mein junun lae hai kuchh aur

baDhta hai junun wadi-e-ulfat mein ziyaada
is dasht mein talwa mera khujlae hai kuchh aur

is par bhi kabhi hogi nigah-e-karam-e-yar
dil us ke tasawwur se hi itrae hai kuchh aur

aksar nigah-e-qahr ke sadme sahe lekin
teri nigah-e-lutf sitam Dhae hai kuchh aur

uqda na haqiqat ka khule dast-e-KHirad se
suljhane se gutthi ye ulajh jae hai kuchh aur

jitni use bahlane ki karte hain sai log
dil apna 'wali' utna hi ghabrae hai kuchh aur

(171) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur written by Wali Ul Haq Ansari at UrduPoint. Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur is one of the masterpieces written by Wali Ul Haq Ansari. You can also find the complete poetry collection of Wali Ul Haq Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Wali Ul Haq Ansari' above.

Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qurb Us Ka Dil-e-zar Ko TaDpae Hai Kuchh Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.