Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon, Urdu Ghazal By Wali Ul Haq Ansari

Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Wali Ul Haq Ansari. Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے یہ اک عقدہ کہ اس دنیا میں لوگ آتے ہیں کیوں

ولی الحق انصاری

ہے یہ اک عقدہ کہ اس دنیا میں لوگ آتے ہیں کیوں

اور جو آنا ہی ہے تو آ کر چلے جاتے ہیں کیوں

زندگی کے ارتقا کی آخری صورت ہے موت

یہ حقیقت ہے تو اس سے لوگ گھبراتے ہیں کیوں

آپ نے کب زہر گھولا میرے جام زیست میں

مجھ سے اب آنکھیں ملاتے آپ شرماتے ہیں کیوں

کیوں نہیں کرتے ہیں اپنے واسطے جنت کی فکر

سبز باغ آخر یہ واعظ ہم کو دکھلاتے ہیں کیوں

کیا نہیں واقف ہیں یہ غنچے نظام دہر سے

خاک میں ملنے کو باہر شاخ سے آتے ہیں کیوں

ابن آدم سے ہوئی تھی جس کی خونیں ابتدا

وہ کہانی زندگی میں لوگ دہراتے ہیں کیوں

کیوں نہیں کہہ پاتے اس کو آپ کے جو دل میں ہے

کیوں نہیں ہوتے ادا الفاظ ہکلاتے ہیں کیوں

ہے جفائے دست قدرت یا خود انساں کا ستم

غم کے بادل بجلیوں کی آگ برساتے ہیں کیوں

کچھ تو ان کے پاس ہے وہ جس سے یہ محروم ہیں

شاہ درویشوں کے آگے ہاتھ پھیلاتے ہیں کیوں

ارتقائے ذہن نے آخر کہاں پہنچا دیا

اس بھری دنیا میں تنہا خود کو ہم پاتے ہیں کیوں

اور گمراہی کا باعث ہوگی کوشش آپ کی

جو سمجھ سے ہے پرے وہ بات سمجھاتے ہیں کیوں

ہے ہی کیا پاس ان کے دو ہاتھوں کی طاقت کے سوا

بے نواؤں سے تونگر اتنا گھبراتے ہیں کیوں

ظلم کا رد عمل فطری ہے اس کا شکوہ کیا

ڈر اگر شعلوں سے ہے پھر آگ بھڑکاتے ہیں کیوں

ہم نے مانا مشکلوں سے آپ کا ہے سابقہ

کیوں نہیں لڑتے ولیؔ آپ ان سے گھبراتے ہیں کیوں

ولی الحق انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon

Wali Ul Haq Ansari

hai ye ek uqda ki is duniya mein log aate hain kyon
aur jo aana hi hai to aa kar chale jate hain kyon

zindagi ke irtiqa ki aaKHiri surat hai maut
ye haqiqat hai to is se log ghabraate hain kyon

aap ne kab zahr ghola mere jam-e-zist mein
mujh se ab aankhen milate aap sharmate hain kyon

kyon nahin karte hain apne waste jannat ki fikr
sabz-bagh aaKHir ye waiz hum ko dikhlate hain kyon

kya nahin waqif hain ye ghunche nizam-e-dahr se
KHak mein milne ko bahar shaKH se aate hain kyon

ibn-e-adam se hui thi jis ki KHunin ibtida
wo kahani zindagi mein log dohraate hain kyon

kyon nahin kah pate us ko aap ke jo dil mein hai
kyon nahin hote ada alfaz haklate hain kyon

hai jafa-e-dast-e-qudrat ya KHud insan ka sitam
gham ke baadal bijliyon ki aag barsate hain kyon

kuchh to un ke pas hai wo jis se ye mahrum hain
shah darweshon ke aage hath phailate hain kyon

irtiqa-e-zehn ne aaKHir kahan pahuncha diya
is bhari duniya mein tanha KHud ko hum pate hain kyon

aur gumrahi ka bais hogi koshish aap ki
jo samajh se hai pare wo baat samjhate hain kyon

hai hi kya pas un ke do hathon ki taqat ke siwa
be-nawaon se tawangar itna ghabraate hain kyon

zulm ka radd-e-amal fitri hai is ka shikwa kya
Dar agar shoalon se hai phir aag bhaDkate hain kyon

hum ne mana mushkilon se aap ka hai sabiqa
kyon nahin laDte 'wali' aap un se ghabraate hain kyon

(310) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon written by Wali Ul Haq Ansari at UrduPoint. Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon is one of the masterpieces written by Wali Ul Haq Ansari. You can also find the complete poetry collection of Wali Ul Haq Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Wali Ul Haq Ansari' above.

Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ye Ek Uqda Ki Is Duniya Mein Log Aate Hain Kyon, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.