KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin, Urdu Ghazal By Aas Fatmi

KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aas Fatmi. KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود سے میں بے یقیں ہوا ہی نہیں

آس فاطمی

خود سے میں بے یقیں ہوا ہی نہیں

آسماں تھا زمیں ہوا ہی نہیں

عشق کہتے ہیں سب جسے ہم سے

وہ گناہ حسیں ہوا ہی نہیں

وصل بھی اس کا اس کے جیسا تھا

جو گماں سے یقیں ہوا ہی نہیں

خانۂ دل سرا کی صورت ہے

کوئی اس میں مکیں ہوا ہی نہیں

لاکھ چاہا مگر سخن میرا

قابل آفریں ہوا ہی نہیں

میں بھی خود کو سنوارتا محسنؔ

آئنہ نکتہ چیں ہوا ہی نہیں

آس فاطمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin

Aas Fatmi

KHud se main be-yaqin hua hi nahin
aasman tha zamin hua hi nahin

ishq kahte hain sab jise hum se
wo gunah-e-hasin hua hi nahin

wasl bhi us ka us ke jaisa tha
jo guman se yaqin hua hi nahin

KHana-e-dil sara ki surat hai
koi is mein makin hua hi nahin

lakh chaha magar suKHan mera
qabil-e-afrin hua hi nahin

main bhi KHud ko sanwarta 'mohsin'
aaina nukta-chin hua hi nahin

(1070) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin written by Aas Fatmi at UrduPoint. KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin is one of the masterpieces written by Aas Fatmi. You can also find the complete poetry collection of Aas Fatmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aas Fatmi' above.

KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Se Main Be-yaqin Hua Hi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.