Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota, Urdu Ghazal By Aashiq Husain Bazm Afandi

Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aashiq Husain Bazm Afandi. Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرض عشق سے اچھا نہیں انساں ہوتا

عاشق حسین بزم آفندی

مرض عشق سے اچھا نہیں انساں ہوتا

یہ وہی درد ہے جس کا نہیں درماں ہوتا

دل وحشت زدہ کیوں زلف کا خواہاں ہوتا

ایک تو تھا ہی سڑی اور پریشاں ہوتا

اے فلک کیا ہوا گر ہنس لئے دو ایک گھڑی

ہم تو جب جانتے پورا کوئی ارماں ہوتا

اور کچھ روزوں جو منت کی نہ بڑھتی بیڑی

تیرے دیوانوں سے معمور بیاباں ہوتا

یہ نہ سمجھے شب وعدہ ہے قیامت ہوگی

کیا جب آتے کہ یہاں دفن کا ساماں ہوتا

سحر ہجر جنازہ ہی نکلتا گھر سے

میں مصیبت کا نہ خوگر جو مری جاں ہوتا

ظلم کیسا ہی پس مرگ وہ کرتے لیکن

لاش ہوتی مری اور کوچۂ جاناں ہوتا

مصحف رخ میں اسی کے یہ صفت ہے واللہ

دو ورق کا بھی ہے آیا کہیں قرآں ہوتا

آج کل غیر سے ہے تجھ کو جو اے ظلم پسند

کاش وہ رشتۂ الفت ترا پیماں ہوتا

اس گرانی پہ تو مجمع ہے یہ دیوانوں کا

قہر تھا زلف کا سودا اگر ارزاں ہوتا

وار بس ایک ہی سینے پہ لگایا اے گل

اتنے چرکے تو لگاتا کہ گلستاں ہوتا

بزمؔ مداح بھی ہے آپ کا اور ذاکر بھی

رحم کیوں اس پہ نہیں اے شہ مرداں ہوتا

عاشق حسین بزم آفندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota

Aashiq Husain Bazm Afandi

maraz-e-ishq se achchha nahin insan hota
ye wahi dard hai jis ka nahin darman hota

dil-e-wahshat-zada kyon zulf ka KHwahan hota
ek to tha hi siDi aur pareshan hota

ai falak kya hua gar hans liye do ek ghaDi
hum to jab jaante pura koi arman hota

aur kuchh rozon jo minnat ki na baDhti beDi
tere diwanon se mamur bayaban hota

ye na samjhe shab-e-wada hai qayamat hogi
kya jab aate ki yahan dafn ka saman hota

sahar-e-hijr janaza hi nikalta ghar se
main musibat ka na KHugar jo meri jaan hota

zulm kaisa hi pas-e-marg wo karte lekin
lash hoti meri aur kucha-e-jaanan hota

mushaf-e-ruKH mein usi ke ye sifat hai wallah
do waraq ka bhi hai aaya kahin quran hota

aaj-kal ghair se hai tujh ko jo ai zulm-pasand
kash wo rishta-e-ulfat tera paiman hota

is girani pe to majma hai ye diwanon ka
qahr tha zulf ka sauda agar arzan hota

war bas ek hi sine pe lagaya ai gul
itne charke to lagata ki gulistan hota

'bazm' maddah bhi hai aap ka aur zakir bhi
rahm kyon is pe nahin ai shah-e-mardan hota

(342) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota written by Aashiq Husain Bazm Afandi at UrduPoint. Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota is one of the masterpieces written by Aashiq Husain Bazm Afandi. You can also find the complete poetry collection of Aashiq Husain Bazm Afandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aashiq Husain Bazm Afandi' above.

Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maraz-e-ishq Se Achchha Nahin Insan Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.