Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar, Urdu Ghazal By Abdul Hadi Wafa

Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Hadi Wafa. Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کام آساں نظر آیا مجھے مشکل ہو کر

عبد الہادی وفا

کام آساں نظر آیا مجھے مشکل ہو کر

حاصل عمر ملا حسرت حاصل ہو کر

دو جہاں مجھ کو ملے ہیں تپش دل ہو کر

اک نظر دیکھ تو لوں دیدۂ بسمل ہو کر

کس پر آتا ہے یہ الزام خدا خیر کرے

میں تمہیں بھول گیا غیر پہ مائل ہو کر

کون سی بات ہے آئینے میں جو مجھ میں نہیں

بیٹھ تو جاؤ ذرا میرے مقابل ہو کر

وحشت بیکسیٔ شوق لئے جاتی ہے

نقش پا آگے بڑھا دورئ منزل ہو کر

خواہش مرگ سر رشتۂ امید سہی

آخر الجھے نہ کہیں وہ گرہ دل ہو کر

پردہ پوشی بھی مزے دے گئی اللہ اللہ

سامنے آئی اجل خندۂ قاتل ہو کر

نشۂ خواب عدم سرمہ بیداری ہے

آنکھیں کھل جاتی ہیں اس پردہ میں غافل ہو کر

صف محشر ہے مرا حلقۂ آغوش نہیں

کیا بچے جاتے ہو اغیار میں شامل ہو کر

دل میں رہ کر بھی تمنا کی خبر رکھتے نہیں

قافلے سیکڑوں گزرے پس محفل ہو کر

میری نظروں میں ہے خورشید قیامت کی نمود

برسوں پہلو میں رہا آبلۂ دل ہو کر

آنکھیں پھر اٹھنے لگیں شرم کا پردہ بن کر

لو وہ پھر آتے ہیں رنگ رخ محفل ہو کر

گلۂ تشنگی شوق ہے اک طول امل

مل گئے خاک میں آخر لب ساحل ہو کر

تیرہ بختی سے ملا روز جزا کو حصہ

رہ گیا ہے رخ افسوس پہ اک تل ہو کر

صاف آتا ہے نظر تم ہو مٹانے والے

کیا کیا پردۂ تقدیر نے حائل ہو کر

اہل دنیا کی طرف دست دعا کیوں اٹھیں

بھیک اغیار سے اک دوست کے سائل ہو کر

جلوہ ان کا ہے کلیم ان کے ہیں ایمن ان کا

طور کیوں جلنے لگا بیچ میں حائل ہو کر

اثر غمزۂ شیریں دل خسرو میں سہی

رہ گیا سینۂ فرہاد اگر سل ہو کر

اے وفاؔ طالع ناشاد کو رشک آتا ہے

ہم رہے جاتے ہیں نقصان میں کامل ہو کر

عبد الہادی وفا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar

Abdul Hadi Wafa

kaam aasan nazar aaya mujhe mushkil ho kar
hasil-e-umr mila hasrat-e-hasil ho kar

do jahan mujh ko mile hain tapish-e-dil ho kar
ek nazar dekh to lun dida-e-bismil ho kar

kis par aata hai ye ilzam KHuda KHair kare
mein tumhein bhul gaya ghair pe mail ho kar

kaun si baat hai aaine mein jo mujh mein nahin
baiTh to jao zara mere muqabil ho kar

wahshat-e-be-kasi-e-shauq liye jati hai
naqsh-e-pa aage baDha duri-e-manzil ho kar

KHwahish-e-marg sar-e-rishta-e-ummid sahi
aaKHir uljhe na kahin wo girah-e-dil ho kar

parda-poshi bhi maze de gai allah allah
samne aai ajal KHanda-e-qatil ho kar

nashsha-e-KHwab-e-adam surma-e-bedari hai
aankhen khul jati hain is parda mein ghafil ho kar

saf-e-mehshar hai mera halqa-e-aghosh nahin
kya bache jate ho aghyar mein shamil ho kar

dil mein rah kar bhi tamanna ki KHabar rakhte nahin
qafile saikDon guzre pas-e-mahmil ho kar

meri nazron mein hai KHurshid-e-qayamat ki numud
barson pahlu mein raha aabla-e-dil ho kar

aankhen phir uThne lagin sharm ka parda ban kar
lo wo phir aate hain rang-e-ruKH-e-mahfil ho kar

gila-e-tishnagi-e-shauq hai ek tul-e-amal
mil gae KHak mein aaKHir lab-e-sahil ho kar

tira-baKHti se mila roz-e-jaza ko hissa
rah gaya hai ruKH-e-afsos pe ek til ho kar

saf aata hai nazar tum ho miTane wale
kya kiya parda-e-taqdir ne hail ho kar

ahl-e-duniya ki taraf dast-e-dua kyon uTThen
bhik aghyar se ek dost ke sail ho kar

jalwa un ka hai kalim un ke hain aiman un ka
tur kyon jalne laga beach mein hail ho kar

asar-e-ghamza-e-shirin dil-e-KHusraw mein sahi
rah gaya sina-e-farhad agar sil ho kar

ai 'wafa' talea-e-nashad ko rashk aata hai
hum rahe jate hain nuqsan mein kaamil ho kar

(575) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar written by Abdul Hadi Wafa at UrduPoint. Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar is one of the masterpieces written by Abdul Hadi Wafa. You can also find the complete poetry collection of Abdul Hadi Wafa by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Hadi Wafa' above.

Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaam Aasan Nazar Aaya Mujhe Mushkil Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.