Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin, Urdu Ghazal By Abdussamad Khateeb

Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdussamad Khateeb. Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے خیالی ہے کچھ خیال نہیں

عبدالصمد خطیب

بے خیالی ہے کچھ خیال نہیں

اب غم جاں کا بھی ملال نہیں

دن نکلتا ہے اور ڈھلتا ہے

ہے غلط دوستو زوال نہیں

زندگی غم تری امانت ہے

تجھ سے میرا کوئی سوال نہیں

دوستوں نے بھی ساتھ چھوڑ دیا

جیب میں جب سے میری مال نہیں

حسن والے بہت ہیں دنیا میں

آپ جیسا مگر جمال نہیں

شاعری اپنا مشغلہ ہے خطیبؔ

راحت جاں ہے یہ وبال نہیں

عبدالصمد خطیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin

Abdussamad Khateeb

be-KHayali hai kuchh KHayal nahin
ab gham-e-jaan ka bhi malal nahin

din nikalta hai aur Dhalta hai
hai ghalat dosto zawal nahin

zindagi gham teri amanat hai
tujh se mera koi sawal nahin

doston ne bhi sath chhoD diya
jeb mein jab se meri mal nahin

husn wale bahut hain duniya mein
aap jaisa magar jamal nahin

shairi apna mashghala hai 'KHatib'
rahat-e-jaan hai ye wabaal nahin

(771) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin written by Abdussamad Khateeb at UrduPoint. Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin is one of the masterpieces written by Abdussamad Khateeb. You can also find the complete poetry collection of Abdussamad Khateeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdussamad Khateeb' above.

Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-KHayali Hai Kuchh KHayal Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.