Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai, Urdu Ghazal By Abdussamad Khateeb

Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdussamad Khateeb. Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دشت تنہائی میں جلنے کی سزا جانے ہے

عبدالصمد خطیب

دشت تنہائی میں جلنے کی سزا جانے ہے

کیا ہے برتاؤ ہواؤں کا دیا جانے ہے

میں اسے دل کے دھڑکنے کا سبب کہتا ہوں

اور اک وہ کہ مجھے خود سے جدا جانے ہے

بے ضمیروں کا بھی جینا کوئی جینا ہے کہ بس

لذت‌ زیست تو پابند انا جانے ہے

میں اک آسودۂ غم ہوں سر راہ ہستی

جز مرے کیف الم کون بھلا جانے ہے

تم جو اس راہ سے گزرو گے تو مل جاؤں گا

میری منزل مرا نقش کف پا جانے ہے

اہل دانش کو کہاں خندہ لبی کی مہلت

صرف دیوانہ ہی یہ طرز و ادا جانے ہے

مجھ پہ کیا گزری ہے آخر شب ہجراں میں خطیبؔ

میرا دل جانے ہے یا میرا خدا جانے ہے

عبدالصمد خطیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai

Abdussamad Khateeb

dasht-e-tanhai mein jalne ki saza jaane hai
kya hai bartaw hawaon ka diya jaane hai

main use dil ke dhaDakne ka sabab kahta hun
aur ek wo ki mujhe KHud se juda jaane hai

be-zamiron ka bhi jina koi jina hai ki bas
lazzat-e-zist to paband-e-ana jaane hai

main ek aasuda-e-gham hun sar-e-rah-e-hasti
juz mere kaif-e-alam kaun bhala jaane hai

tum jo is rah se guzroge to mil jaunga
meri manzil mera naqsh-e-kaf-e-pa jaane hai

ahl-e-danish ko kahan KHanda-labi ki mohlat
sirf diwana hi ye tarz-o-ada jaane hai

mujh pe kya guzri hai aaKHir shab-e-hijran mein 'KHatib'
mera dil jaane hai ya mera KHuda jaane hai

(607) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai written by Abdussamad Khateeb at UrduPoint. Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai is one of the masterpieces written by Abdussamad Khateeb. You can also find the complete poetry collection of Abdussamad Khateeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdussamad Khateeb' above.

Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dasht-e-tanhai Mein Jalne Ki Saza Jaane Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.