KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta, Urdu Ghazal By Abu Mohammad Syed Husain Saifi

KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abu Mohammad Syed Husain Saifi. KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا جب تک نہ چاہے کچھ کسی سے ہو نہیں سکتا

ابومحمد سید حسین سیفی

خدا جب تک نہ چاہے کچھ کسی سے ہو نہیں سکتا

ولی سے ہو نہیں سکتا نبی سے ہو نہیں سکتا

توجہ شرط ہے کیا آدمی سے ہو نہیں سکتا

مگر ہمت ہی کرنا کاہلی سے ہو نہیں سکتا

کروں کیوں التجا غیروں کے آگے تنگ دستی کی

بدل ڈالے مقدر یہ کسی سے ہو نہیں سکتا

اگر جاہل کا پردہ ہے تو اہل علم کی زینت

مگر نقصان اپنا خامشی سے ہو نہیں سکتا

برائی اس کی کر کے کیوں کروں میں اپنا دل ہلکا

مرا نقصان جس کی دشمنی سے ہو نہیں سکتا

پریشاں مفلسی سے آپ ہی وہ کیوں نہ ہو لیکن

فقیروں کو جھڑک دینا سکھی سے ہو نہیں سکتا

گھٹائیں یاس کی امید پر جب تک نہ چھا جائیں

کوئی بیزار اپنی زندگی سے ہو نہیں سکتا

اسی ظالم نے شاید راز میرا کر دیا افشا

پتے کی بات کہنا اجنبی سے ہو نہیں سکتا

گناہوں سے وہی ڈرتا ہے جس کو خوف خالق ہے

فریب نفس سے بچنا سبھی سے ہو نہیں سکتا

کلیجا قیس کا دل کوہ کن کا چاہئے سیفیؔ

کسی پر جان دینا ہر کسی سے ہو نہیں سکتا

ابومحمد سید حسین سیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta

Abu Mohammad Syed Husain Saifi

KHuda jab tak na chahe kuchh kisi se ho nahin sakta
wali se ho nahin sakta nabi se ho nahin sakta

tawajjoh shart hai kya aadmi se ho nahin sakta
magar himmat hi karna kahili se ho nahin sakta

karun kyon iltija ghairon ke aage tang-dasti ki
badal Dale muqaddar ye kisi se ho nahin sakta

agar jahil ka parda hai to ahl-e-ilm ki zinat
magar nuqsan apna KHamushi se ho nahin sakta

burai us ki kar ke kyon karun main apna dil halka
mera nuqsan jis ki dushmani se ho nahin sakta

pareshan muflisi se aap hi wo kyon na ho lekin
faqiron ko jhiDak dena sakhi se ho nahin sakta

ghaTaen yas ki ummid par jab tak na chha jaen
koi bezar apni zindagi se ho nahin sakta

usi zalim ne shayad raaz mera kar diya ifsha
pate ki baat kahna ajnabi se ho nahin sakta

gunahon se wahi Darta hai jis ko KHauf-e-KHaliq hai
fareb-e-nafs se bachna sabhi se ho nahin sakta

kaleja qais ka dil kohkan ka chahiye 'saifi'
kisi par jaan dena har kisi se ho nahin sakta

(643) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta written by Abu Mohammad Syed Husain Saifi at UrduPoint. KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta is one of the masterpieces written by Abu Mohammad Syed Husain Saifi. You can also find the complete poetry collection of Abu Mohammad Syed Husain Saifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abu Mohammad Syed Husain Saifi' above.

KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHuda Jab Tak Na Chahe Kuchh Kisi Se Ho Nahin Sakta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.