Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main, Urdu Ghazal By Abu Mohammad Syed Husain Saifi

Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abu Mohammad Syed Husain Saifi. Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات دن کشمکش زلف دوتا میں ہوں میں

ابومحمد سید حسین سیفی

رات دن کشمکش زلف دوتا میں ہوں میں

ہائے کس پیچ میں آفت میں بلا میں ہوں میں

صبح ہوتے ہی نکل چلنے کا سامان کیا

رات بھر کے لئے اس کہنہ سرا میں ہوں میں

ہوش آئے ہیں بڑھاپے میں جوانی تو گئی

صبح کا وقت ہے اور یاد خدا میں ہوں میں

ہائے کس منہ سے ہو قسمت کے بگڑنے کا گلہ

اپنے افعال کمینہ کی سزا میں ہوں میں

بہت آسان تھا ایک ایک خطا کا کرنا

سب کی اب فکر ہے اور دست قضا میں ہوں میں

بے تکلف وہی کرتا ہے جو دل چاہے ہے

فکر میری نہ کرو تم فقرا میں ہوں میں

بات جو بس گئی دل میں وہ نکلتی کب ہے

چھیڑئیے مجھ کو نہ سیفیؔ جہلا میں ہوں میں

ابومحمد سید حسین سیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main

Abu Mohammad Syed Husain Saifi

raat-din kashmakash-e-zulf-e-duta mein hun main
hae kis pech mein aafat mein bala mein hun main

subh hote hi nikal chalne ka saman kiya
raat bhar ke liye is kohna-sara mein hun main

hosh aae hain buDhape mein jawani to gai
subh ka waqt hai aur yaad-e-KHuda mein hun main

hae kis munh se ho qismat ke bigaDne ka gila
apne afaal-e-kamina ki saza mein hun main

bahut aasan tha ek ek KHata ka karna
sab ki ab fikr hai aur dast-e-qaza mein hun main

be-takalluf wahi karta hai jo dil chahe hai
fikr meri na karo tum fuqara mein hun main

baat jo bas gai dil mein wo nikalti kab hai
chheDiye mujh ko na 'saifi' juhla mein hun main

(630) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main written by Abu Mohammad Syed Husain Saifi at UrduPoint. Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main is one of the masterpieces written by Abu Mohammad Syed Husain Saifi. You can also find the complete poetry collection of Abu Mohammad Syed Husain Saifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abu Mohammad Syed Husain Saifi' above.

Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat-din Kashmakash-e-zulf-e-duta Mein Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.