Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka, Urdu Ghazal By Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr

Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے عام ازل ہی سے فیضان محبت کا

ابوزاہد سید یحییٰ حسینی قدر

ہے عام ازل ہی سے فیضان محبت کا

امکان مسلم ہے امکان محبت کا

توڑا نہیں جا سکتا پیمان محبت کا

نقصان خود اپنا ہے نقصان محبت کا

پھر ان کی نگاہوں سے ٹکرائی مری نظریں

پھر بڑھنے لگا دل میں طوفان محبت کا

ایک ایک تمنا میں لاکھوں ہیں تمنائیں

ارمانوں کی دنیا ہے ارمان محبت کا

اس واسطے مسلم کی فطرت میں محبت ہے

دیتا ہے سبق اس کو قرآن محبت کا

برباد محبت کی حالت ہے عجب حالت

ہے بے سر و سامانی سامان محبت کا

جذبات محبت کے میں لاکھ چھپاتا ہوں

کرتی ہیں مری نظریں اعلان محبت کا

گویا مرے سینے میں میزان محبت ہے

یوں دل میں جگر میں ہے پیکان محبت کا

وہ نور کا پرتو ہے یا حسن کا پرتو ہے

ہے دین محبت کا ایمان محبت کا

جو درد کا حامل ہے وہ ذوق میں کامل ہے

بے حس کو نہیں ہوتا ایقان محبت کا

اجمال یہ بے شک ہے تفصیل کا آئینہ

مضمون پہ حاوی ہے عنوان محبت کا

ہیں اس کے تصور کو گھیرے ہوئے ارماں سب

رہتا ہے فقیروں میں سلطان محبت کا

آتی ہے نظر اس میں اخلاص کی ہر صورت

آئینہ ہے آئینہ انسان محبت کا

نیرنگ محبت کا ہر شعر سے ظاہر ہے

ہے قدرؔ کا دیواں بھی دیوان محبت کا

ابوزاہد سید یحییٰ حسینی قدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka

Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr

hai aam azal hi se faizan mohabbat ka
imkan musallam hai imkan mohabbat ka

toDa nahin ja sakta paiman mohabbat ka
nuqsan KHud apna hai nuqsan mohabbat ka

phir un ki nigahon se Takrai meri nazren
phir baDhne laga dil mein tufan mohabbat ka

ek ek tamanna mein lakhon hain tamannaen
armanon ki duniya hai arman mohabbat ka

is waste muslim ki fitrat mein mohabbat hai
deta hai sabaq us ko quran mohabbat ka

barbaad-e-mohabbat ki haalat hai ajab haalat
hai be-sar-o-samani saman mohabbat ka

jazbaat mohabbat ke main lakh chhupata hun
karti hain meri nazren elan mohabbat ka

goya mere sine mein mizan-e-mohabbat hai
yun dil mein jigar mein hai paikan mohabbat ka

wo nur ka partaw hai ya husn ka partaw hai
hai din mohabbat ka iman mohabbat ka

jo dard ka hamil hai wo zauq mein kaamil hai
behis ko nahin hota iqan mohabbat ka

ijmal ye be-shak hai tafsil ka aaina
mazmun pe hawi hai unwan mohabbat ka

hain us ke tasawwur ko ghere hue arman sab
rahta hai faqiron mein sultan mohabbat ka

aati hai nazar us mein iKHlas ki har surat
aaina hai aaina insan mohabbat ka

nairang mohabbat ka har sher se zahir hai
hai 'qadr' ka diwan bhi diwan mohabbat ka

(912) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka written by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr at UrduPoint. Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka is one of the masterpieces written by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. You can also find the complete poetry collection of Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr' above.

Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.