Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya, Urdu Ghazal By Abul Baqa Sabr Saharanpuri

Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abul Baqa Sabr Saharanpuri. Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمہاری زلف کا دل سے مقابلہ نہ گیا

ابوالبقاء صبر سہارنپوری

تمہاری زلف کا دل سے مقابلہ نہ گیا

ہمارے سر سے یہ سودا یہ سلسلہ نہ گیا

اگرچہ جاں سے گئے بارہا محبت میں

شکست فاش پہ بھی ویسے حوصلہ نہ گیا

ہٹا کے زلف پریشاں وہ رخ سے یوں بولے

کبھی یہ شام و سحر ہی کا فاصلہ نہ گیا

ہوائے بادۂ معشوق اب بھی باقی ہے

شباب جانے پہ بھی دل کا ولولہ نہ گیا

بجھائی پیاس نہ کب اس سے خار صحرا کی

میں اپنے پاؤں کا کب لے کے آبلہ نہ گیا

یہاں جفا کا وفا کا وہاں رہا شکوہ

ہمارے ان کے دلوں سے یہی گلہ نہ گیا

یہاں ہمیشہ اجل ڈالتی رہی ڈاکا

عدم کو کون سے دن لٹ کے قافلہ نہ گیا

تری ہی تیغ جفا کے یہ نیم بسمل ہیں

دل و جگر کا کبھی کر کے فیصلہ نہ گیا

نکل گیا تھا وہ کھوٹا ہمارا دل لے کر

ہمیں کھرے تھے جو اس سے معاملہ نہ گیا

جو دل کا چاک سیا تو جگر ہوا ٹکڑے

تمام عمر یہی اپنا مشغلہ نہ گیا

وظیفہ خوار ہے یہ بارگاہ کا اس کی

خدا کے گھر سے کبھی صبرؔ کا صلہ نہ گیا

ابوالبقاء صبر سہارنپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya
hamare sar se ye sauda ye silsila na gaya

agarche jaan se gae barha mohabbat mein
shikast-e-fash pe bhi waise hausla na gaya

haTa ke zulf-e-pareshan wo ruKH se yun bole
kabhi ye sham-o-sahar hi ka fasla na gaya

hawa-e-baada-e-mashuq ab bhi baqi hai
shabab jaane pe bhi dil ka walwala na gaya

bujhai pyas na kab is se KHar-e-sahra ki
main apne panw ka kab le ke aabla na gaya

yahan jafa ka wafa ka wahan raha shikwa
hamare un ke dilon se yahi gila na gaya

yahan hamesha ajal Dalti rahi Daka
adam ko kaun se din luT ke qafila na gaya

teri hi tegh-e-jafa ke ye nim-bismil hain
dil-o-jigar ka kabhi kar ke faisla na gaya

nikal gaya tha wo khoTa hamara dil le kar
hamin khare the jo us se moamla na gaya

jo dil ka chaak siya to jigar hua TukDe
tamam umr yahi apna mashghala na gaya

wazifa-KHwar hai ye bargah ka us ki
KHuda ke ghar se kabhi 'sabr' ka sila na gaya

(554) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya written by Abul Baqa Sabr Saharanpuri at UrduPoint. Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya is one of the masterpieces written by Abul Baqa Sabr Saharanpuri. You can also find the complete poetry collection of Abul Baqa Sabr Saharanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abul Baqa Sabr Saharanpuri' above.

Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tumhaari Zulf Ka Dil Se Muqabla Na Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.