Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun, Urdu Ghazal By Abul Baqa Sabr Saharanpuri

Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abul Baqa Sabr Saharanpuri. Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی نا مہرباں ہے اور میں ہوں

ابوالبقاء صبر سہارنپوری

کوئی نا مہرباں ہے اور میں ہوں

حجاب درمیاں ہے اور میں ہوں

غم جور بتاں ہے اور میں ہوں

یہ اک کوہ گراں ہے اور میں ہوں

اک آہ ناتواں ہے اور میں ہوں

مری عمر رواں ہے اور میں ہوں

ادھر دل اور جگر میں اک خلش ہے

ادھر درد نہاں ہے اور میں ہوں

رواں آنکھوں سے ہے اشکوں کا دریا

یہ بحر‌ بیکراں ہے اور میں ہوں

نفس ہے اور گلشن کا تصور

خیال آشیاں ہے اور میں ہوں

نماز عشق ہے اور یہ جبیں ہے

کسی کا آستاں ہے اور میں ہوں

ہے میرا ترجمان غم ہر آنسو

دہان بے زباں ہے اور میں ہوں

کسی کا قصہ ہے لب پر شب و روز

کسی کی داستاں ہے اور میں ہوں

کہوں مرقد میں اپنی بیکسی کیا

کہ اک تیرہ مکاں ہے اور میں ہوں

مری ہستی ہے اور ضرب نفس ہے

درائے کارواں ہے اور میں ہوں

چمن ہے اور مری نغمہ سرائی

صبا ہے باغباں ہے اور میں ہوں

مرا ہر زخم چھل کر رنگ لایا

بہار بے خزاں ہے اور میں ہوں

کسی کی یاد ہے اور خانۂ دل

کسی کا میہماں ہے اور میں ہوں

کوئی دم درد سے خالی نہیں ہے

جفائے آسماں ہے اور میں ہوں

بہار آتی نہیں میرے چمن میں

سدا دور خزاں ہے اور میں ہوں

ادھر ساقی ادھر دیدار خم ہے

در پیر مغاں ہے اور میں ہوں

پتہ منزل کا کچھ ملتا نہیں ہے

تلاش کارواں ہے اور میں ہوں

کہوں اے صبرؔ اپنا مشغلہ کیا

یہ اک اردو زباں ہے اور میں ہوں

ابوالبقاء صبر سہارنپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

koi na-mehrban hai aur main hun
hijab-e-darmiyan hai aur main hun

gham-e-jaur-e-butan hai aur main hun
ye ek koh-e-giran hai aur main hun

ek aah-e-na-tawan hai aur main hun
meri umr-e-rawan hai aur main hun

idhar dil aur jigar mein ek KHalish hai
udhar dard-e-nihan hai aur main hun

rawan aankhon se hai ashkon ka dariya
ye bahr-e-bekaran hai aur main hun

nafas hai aur gulshan ka tasawwur
KHayal-e-ashiyan hai aur main hun

namaz-e-ishq hai aur ye jabin hai
kisi ka aastan hai aur main hun

hai mera tarjuman-e-gham har aansu
dahan-e-be-zaban hai aur main hun

kisi ka qissa hai lab par shab-o-roz
kisi ki dastan hai aur main hun

kahun marqad mein apni bekasi kya
ki ek tira-makan hai aur main hun

meri hasti hai aur zarb-e-nafas hai
dara-e-karwan hai aur main hun

chaman hai aur meri naghma-sarai
saba hai baghban hai aur main hun

mera har zaKHm chhil kar rang laya
bahaar-e-be-KHizan hai aur main hun

kisi ki yaad hai aur KHana-e-dil
kisi ka mehman hai aur main hun

koi dam dard se KHali nahin hai
jafa-e-asman hai aur main hun

bahaar aati nahin mere chaman mein
sada daur-e-KHizan hai aur main hun

idhar saqi udhar didar-e-KHum hai
dar-e-pir-e-mughan hai aur main hun

pata manzil ka kuchh milta nahin hai
talash-e-karwan hai aur main hun

kahun ai 'sabr' apna mashghala kya
ye ek urdu zaban hai aur main hun

(557) ووٹ وصول ہوئے

You can read Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun written by Abul Baqa Sabr Saharanpuri at UrduPoint. Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun is one of the masterpieces written by Abul Baqa Sabr Saharanpuri. You can also find the complete poetry collection of Abul Baqa Sabr Saharanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abul Baqa Sabr Saharanpuri' above.

Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Na-mehrban Hai Aur Main Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.