Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho, Urdu Ghazal By Abul Khair Nashtar

Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abul Khair Nashtar. Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho

Abul Khair Nashtar

mere ashaar mein alfaz ke jauhar dekho
band hai fikr ke kuze mein samundar dekho

har taraf jalwa-fagan nur ka manzar dekho
dekhne walo mere qalb ke andar dekho

dasht-e-zulmat se ujalon ka tajassus le kar
dosto aao ba-sad-shauq mera ghar dekho

sang-e-dushnam uThate ho uThao lekin
apne kirdar ki tahrir to paDh kar dekho

mauj-dar-mauj abhi aks bikhar jaega
jhil ke chehre pe tum phenk ke patthar dekho

subh ki pahli kiran jhank gai rauzan se
band kamre se nikal kar zara bahar dekho

ru-ba-ru chehre ki tausif-pasandi se pare
KHud ko kirdar ke aaine mein 'nashtar' dekho

(444) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho written by Abul Khair Nashtar at UrduPoint. Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho is one of the masterpieces written by Abul Khair Nashtar. You can also find the complete poetry collection of Abul Khair Nashtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abul Khair Nashtar' above.

Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Ashaar Mein Alfaz Ke Jauhar Dekho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.