Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha, Urdu Ghazal By Afsar Merathi

Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afsar Merathi. Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب دل میں تیرے تیر کا پیکاں نہیں رہا

افسر میرٹھی

اب دل میں تیرے تیر کا پیکاں نہیں رہا

کیونکر جیوں کہ زیست کا ساماں نہیں رہا

گردوں کی سمت دیکھ کے رخصت ہوا مریض

جب کوئی اس کے حال کا پرساں نہیں رہا

تاروں نے کر دیا تری وحشت کا راز فاش

اے رات تیرا حسن بھی پنہاں نہیں رہا

مجھ پر تو تیری آنکھ نے پھر کر غضب کیا

میں لطف گیر گردش دوراں نہیں رہا

فصل بہار کی مری وحشت نے دی خبر

اب دل سنبھالنا مجھے آساں نہیں رہا

اے یاس تو نے آ کے سہارا دیا مجھے

جب کوئی میرے حال کا پرساں نہیں رہا

پچھلے پہر شکست کی آواز آئی ہے

ٹوٹا ہے دل کہ ضبط کا امکاں نہیں رہا

اب دل میں تیرے تیر کے پیکاں کی یاد ہے

گو دل میں تیرے تیر کا پیکاں نہیں رہا

ہنستے ہیں پھول زخم پہ دشمن ہے باغباں

گلشن میں جی بہلنے کا ساماں نہیں رہا

جو درد تو نے جس کو دیا واہ رے اثر

اس درد کا جہان میں درماں نہیں رہا

وحشت بھری نگاہ نے ویران کر دیا

اب کیا کروں وہ رنگ گلستاں نہیں رہا

حسرت نے بے کسی میں کفن بن کے ڈھک لیا

اب لاشہ مجھ غریب کا عریاں نہیں رہا

افسرؔ مشاعروں میں ہے کیوں میری جستجو

میں تو مشاعروں میں غزل خواں نہیں رہا

افسر میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha

Afsar Merathi

ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha
kyunkar jiyun ki zist ka saman nahin raha

gardun ki samt dekh ke ruKHsat hua mariz
jab koi us ke haal ka pursan nahin raha

taron ne kar diya teri wahshat ka raaz fash
ai raat tera husn bhi pinhan nahin raha

mujh par to teri aankh ne phir kar ghazab kiya
main lutf-gir-e-gardish-e-dauran nahin raha

fasl-e-bahaar ki meri wahshat ne di KHabar
ab dil sambhaalna mujhe aasan nahin raha

ai yas tu ne aa ke sahaara diya mujhe
jab koi mere haal ka pursan nahin raha

pichhle pahar shikast ki aawaz aai hai
TuTa hai dil ki zabt ka imkan nahin raha

ab dil mein tere tir ke paikan ki yaad hai
go dil mein tere tir ka paikan nahin raha

hanste hain phul zaKHm pe dushman hai baghban
gulshan mein ji bahalne ka saman nahin raha

jo dard tu ne jis ko diya wah re asar
us dard ka jahan mein darman nahin raha

wahshat bhari nigah ne viran kar diya
ab kya karun wo rang-e-gulistan nahin raha

hasrat ne be-kasi mein kafan ban ke Dhak liya
ab lasha mujh gharib ka uryan nahin raha

'afsar' mushaeron mein hai kyon meri justuju
main to mushaeron mein ghazal-KHwan nahin raha

(703) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha written by Afsar Merathi at UrduPoint. Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha is one of the masterpieces written by Afsar Merathi. You can also find the complete poetry collection of Afsar Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Merathi' above.

Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Dil Mein Tere Tir Ka Paikan Nahin Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.