Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya, Urdu Ghazal By Afsar Merathi

Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afsar Merathi. Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل کے زخموں سے چمن میں شور برپا کر دیا

افسر میرٹھی

دل کے زخموں سے چمن میں شور برپا کر دیا

میں نے پھولوں میں ہنسی کا تیری چرچا کر دیا

اپنی وحشت اپنی بدنامی کا مجھ کو غم نہیں

اس کا رونا ہے کہ میں نے تجھ کو رسوا کر دیا

پھر مریض غم نہ بولا دیکھ کر ظالم تجھے

آنکھوں ہی آنکھوں میں یہ کیا کہہ دیا کیا کر دیا

سامنے تم آ گئے میں دل پکڑ کر رہ گیا

میری قسمت سے دوا نے درد پیدا کر دیا

ہائے اب کوئی ٹھکانا آرزوؤں کا نہیں

دل کی بستی لوٹ لی ظالم نے یہ کیا کر دیا

چاندنی کا رات اک دریا بنایا ماہ نے

موتیوں سے میں نے پر رو رو کے دریا کر دیا

میری میت پر وہ آیا سب ہوئے محو جمال

موت کو بھی میری ظالم نے تماشا کر دیا

اب شعاع حسن پر انوار ہے نظارہ سوز

تیری اس بے پردگی نے خود ہی پردہ کر دیا

دشت گردی کی بدولت چار تنکے چن لئے

آشیاں کا میری وحشت نے سہارا کر دیا

کیا صدا تھی سننے والے دل پکڑ کر رہ گئے

تیرے نالوں نے تو افسرؔ حشر برپا کر دیا

افسر میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya

Afsar Merathi

dil ke zaKHmon se chaman mein shor barpa kar diya
main ne phulon mein hansi ka teri charcha kar diya

apni wahshat apni badnami ka mujh ko gham nahin
us ka rona hai ki main ne tujh ko ruswa kar diya

phir mariz-e-gham na bola dekh kar zalim tujhe
aankhon hi aankhon mein ye kya kah diya kya kar diya

samne tum aa gae main dil pakaD kar rah gaya
meri qismat se dawa ne dard paida kar diya

hae ab koi Thikana aarzuon ka nahin
dil ki basti luT li zalim ne ye kya kar diya

chandni ka raat ek dariya banaya mah ne
motiyon se main ne par ro-ro ke dariya kar diya

meri mayyat par wo aaya sab hue mahw-e-jamal
maut ko bhi meri zalim ne tamasha kar diya

ab shua-e-husn-e-pur-anwar hai nazzara soz
teri is be-pardagi ne KHud hi parda kar diya

dasht-gardi ki badaulat chaar tinke chun liye
aashiyan ka meri wahshat ne sahaara kar diya

kya sada thi sunne wale dil pakaD kar rah gae
tere nalon ne to 'afsar' hashr barpa kar diya

(788) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya written by Afsar Merathi at UrduPoint. Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya is one of the masterpieces written by Afsar Merathi. You can also find the complete poetry collection of Afsar Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Merathi' above.

Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Ke ZaKHmon Se Chaman Mein Shor Barpa Kar Diya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.