Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho, Urdu Ghazal By Afzal Peshawari

Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afzal Peshawari. Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آپ کے دل کو مرے دل سے کہیں پیار نہ ہو

افضل پیشاوری

آپ کے دل کو مرے دل سے کہیں پیار نہ ہو

زندگی میری طرح آپ کی دشوار نہ ہو

ماننے سے مری ڈر ہے انہیں انکار نہ ہو

یہ مری عرض تمنا کہیں بیکار نہ ہو

شوق سے ربط محبت کو بڑھائیں لیکن

حد سے بڑھ کر یہ محبت کہیں آزار نہ ہو

زندگی رشک کے قابل ہو محبت میں اگر

دل کی ہر بات پہ اقرار ہو انکار نہ ہو

میرے ارمانوں کی دنیا کا خدا حافظ ہو

آپ کے دل میں اگر جذبۂ ایثار نہ ہو

عیش چومے گا قدم رنج کے دن ٹلنے دے

میرے دل ان کی محبت سے تو بیزار نہ ہو

زندگی یوں ہی بھٹکتی رہے منزل کے لئے

ایک سے ایک کو دنیا میں اگر پیار نہ ہو

ہجر کے اب تو تصور سے ہی دم گھٹتا ہے

میں تو مر جاؤں جو پہلو میں مرے یار نہ ہو

میں سمجھتا ہوں وفادار محبت اس کو

جو محبت میں وفاؤں کا طلب گار نہ ہو

ربط کی چاشنی کا کرکرا ہو جائے مزہ

لطف آمیز محبت میں جو تکرار نہ ہو

اس پہ ہوتے ہیں زمانے کے کرم اے افضلؔ

اک ذرا سے جو کرم کا بھی روادار نہ ہو

افضل پیشاوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho

Afzal Peshawari

aap ke dil ko mere dil se kahin pyar na ho
zindagi meri tarah aap ki dushwar na ho

manne se meri Dar hai unhen inkar na ho
ye meri arz-e-tamanna kahin be-kar na ho

shauq se rabt-e-mohabbat ko baDhaen lekin
had se baDh kar ye mohabbat kahin aazar na ho

zindagi rashk ke qabil ho mohabbat mein agar
dil ki har baat pe iqrar ho inkar na ho

mere armanon ki duniya ka KHuda-hafiz ho
aap ke dil mein agar jazba-e-isar na ho

aish chumega qadam ranj ke din Talne de
mere dil un ki mohabbat se tu bezar na ho

zindagi yun hi bhaTakti rahe manzil ke liye
ek se ek ko duniya mein agar pyar na ho

hijr ke ab to tasawwur se hi dam ghuTta hai
mein to mar jaun jo pahlu mein mere yar na ho

main samajhta hun wafadar-e-mohabbat us ko
jo mohabbat mein wafaon ka talabgar na ho

rabt ki chashni ka kirkira ho jae maza
lutf-amez mohabbat mein jo takrar na ho

us pe hote hain zamane ke karam ai 'afzal'
ek zara se jo karam ka bhi rawadar na ho

(1319) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho written by Afzal Peshawari at UrduPoint. Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho is one of the masterpieces written by Afzal Peshawari. You can also find the complete poetry collection of Afzal Peshawari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afzal Peshawari' above.

Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aap Ke Dil Ko Mere Dil Se Kahin Pyar Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.