Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota, Urdu Ghazal By Akhtar Amaan

Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Amaan. Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

طویل تر ہے سفر مختصر نہیں ہوتا

اختر امان

طویل تر ہے سفر مختصر نہیں ہوتا

محبتوں کا شجر بے ثمر نہیں ہوتا

پھر اس کے بعد کئی لوگ مل کے بچھڑے ہیں

کسی جدائی کا دل پر اثر نہیں ہوتا

ہر ایک شخص کی اپنی ہی ایک منزل ہے

کوئی کسی کا یہاں ہم سفر نہیں ہوتا

تمام عمر گزر جاتی ہے کبھی پل میں

کبھی تو ایک ہی لمحہ بسر نہیں ہوتا

یہ اور بات ہے وہ اپنا حال دل نہ کہے

کوئی بھی شخص یہاں بے خبر نہیں ہوتا

عجیب لوگ ہیں یہ اہل عشق بھی اخترؔ

کہ دل تو ہوتا ہے پر ان کا سر نہیں ہوتا

اختر امان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota

Akhtar Amaan

tawil-tar hai safar muKHtasar nahin hota
mohabbaton ka shajar be-samar nahin hota

phir us ke baad kai log mil ke bichhDe hain
kisi judai ka dil par asar nahin hota

har ek shaKHs ki apni hi ek manzil hai
koi kisi ka yahan ham-safar nahin hota

tamam umr guzar jati hai kabhi pal mein
kabhi to ek hi lamha basar nahin hota

ye aur baat hai wo apna haal-e-dil na kahe
koi bhi shaKHs yahan be-KHabar nahin hota

ajib log hain ye ahl-e-ishq bhi 'aKHtar'
ki dil to hota hai par in ka sar nahin hota

(652) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota written by Akhtar Amaan at UrduPoint. Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota is one of the masterpieces written by Akhtar Amaan. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Amaan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Amaan' above.

Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tawil-tar Hai Safar MuKHtasar Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.