Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh, Urdu Ghazal By Akhtar Ansari Akbarabadi

Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Ansari Akbarabadi. Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور تک روشنی ہے غور سے دیکھ

اختر انصاری اکبرآبادی

دور تک روشنی ہے غور سے دیکھ

موت بھی زندگی ہے غور سے دیکھ

ان چراغوں کے بعد اے دنیا

کس قدر تیرگی ہے غور سے دیکھ

رہنماؤں کا جذبۂ ایثار

یہ بھی اک رہزنی ہے غور سے دیکھ

دشمنی کو برا نہ کہہ اے دوست

دیکھ کیا دوستی ہے غور سے دیکھ

ترک تدبیر و جستجو کے بعد

زندگی زندگی ہے غور سے دیکھ

گر یہ شبنم کا رنگ لایا ہے

ہر طرف تازگی ہے غور سے دیکھ

ہیں تحیر میں وہ بھی اے اخترؔ

کیا تری شاعری ہے غور سے دیکھ

اختر انصاری اکبرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh

Akhtar Ansari Akbarabadi

dur tak raushni hai ghaur se dekh
maut bhi zindagi hai ghaur se dekh

un charaghon ke baad ai duniya
kis qadar tirgi hai ghaur se dekh

rahnumaon ka jazba-e-isar
ye bhi ek rahzani hai ghaur se dekh

dushmani ko bura na kah ai dost
dekh kya dosti hai ghaur se dekh

tark-e-tadbir-o-justuju ke baad
zindagi zindagi hai ghaur se dekh

gar ye shabnam ka rang laya hai
har taraf tazgi hai ghaur se dekh

hain tahayyur mein wo bhi ai 'aKHtar'
kya teri shairi hai ghaur se dekh

(1190) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh written by Akhtar Ansari Akbarabadi at UrduPoint. Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh is one of the masterpieces written by Akhtar Ansari Akbarabadi. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Ansari Akbarabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Ansari Akbarabadi' above.

Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dur Tak Raushni Hai Ghaur Se Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.