Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake, Urdu Ghazal By Akhtar Husain Shaafi

Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Husain Shaafi. Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم درد نہاں کو محفل میں رسوائے حکایت کر نہ سکے

اختر حسین شافی

ہم درد نہاں کو محفل میں رسوائے حکایت کر نہ سکے

کہنے کو بہت کچھ تھا لیکن کچھ ان سے خطابت کر نہ سکے

اے حسن ذرا دم بھر کے لئے کچھ شوخ تجھے بھی ہونا تھا

دو دل تھے فدا آپس میں مگر اظہار محبت کر نہ سکے

گزرے ہوئے لمحوں کی یادیں اب شوق وفا سے کہتی ہیں

جو شے تھی قریب قلب و جگر اس شے سے رفاقت کر نہ سکے

ہر شوق بڑھا کر سپنے میں زحمت تو اٹھائی راہوں کی

پہنچے تو در کعبہ پہ مگر کعبے کی زیارت کر نہ سکے

سینے میں خلش ہے فرقت کی بیتاب تمنا ہے میری

جو ہم سے محبت کرتے تھے ہم ان پہ عنایت کر نہ سکے

چنچل بھی وہ تھے چالاک بھی تھے پر شرم و حیا بھی ایسی تھی

ہم من کے پرانے پاپی بھی کچھ ان سے شرارت کر نہ سکے

واعظ نے کہا تھا ضبط کرو جذبات محبت کو لیکن

ہم اس کی ہدایت پر چل کر اس دل کی حفاظت کر نہ سکے

دنیا کے غموں کا خوف نہیں بے باک مسافر کو شافیؔ

دم بھر کے لئے پلکوں کے تلے افسوس اقامت کر نہ سکے

اختر حسین شافی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake

Akhtar Husain Shaafi

hum dard-e-nihan ko mahfil mein ruswa-e-hikayat kar na sake
kahne ko bahut kuchh tha lekin kuchh un se KHitabat kar na sake

ai husn zara dam bhar ke liye kuchh shoKH tujhe bhi hona tha
do dil the fida aapas mein magar izhaar-e-mohabbat kar na sake

guzre hue lamhon ki yaaden ab shauq-e-wafa se kahti hain
jo shai thi qarib-e-qalb-o-jigar us shai se rifaqat kar na sake

har shauq baDha kar sapne mein zahmat to uThai rahon ki
pahunche to dar-e-kaba pe magar kabe ki ziyarat kar na sake

sine mein KHalish hai furqat ki betab tamanna hai meri
jo hum se mohabbat karte the hum un pe inayat kar na sake

chanchal bhi wo the chaalak bhi the par sharm-o-haya bhi aisi thi
hum man ke purane papi bhi kuchh un se shararat kar na sake

waiz ne kaha tha zabt karo jazbaat-e-mohabbat ko lekin
hum us ki hidayat par chal kar is dil ki hifazat kar na sake

duniya ke ghamon ka KHauf nahin bebak musafir ko 'shafi'
dam bhar ke liye palkon ke tale afsos iqamat kar na sake

(515) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake written by Akhtar Husain Shaafi at UrduPoint. Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake is one of the masterpieces written by Akhtar Husain Shaafi. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Husain Shaafi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Husain Shaafi' above.

Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Dard-e-nihan Ko Mahfil Mein Ruswa-e-hikayat Kar Na Sake, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.