Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha, Urdu Ghazal By Ameer Minai

Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Minai. Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فراق یار نے بے چین مجھ کو رات بھر رکھا

امیر مینائی

فراق یار نے بے چین مجھ کو رات بھر رکھا

کبھی تکیہ ادھر رکھا کبھی تکیہ ادھر رکھا

شکست دل کا باقی ہم نے غربت میں اثر رکھا

لکھا اہل وطن کو خط تو اک گوشہ کتر رکھا

برابر آئینے کے بھی نہ سمجھے قدر وہ دل کی

اسے زیر قدم رکھا اسے پیش نظر رکھا

مٹائے دیدہ و دل دونوں میرے اشک خونیں نے

عجب یہ طفل ابتر تھا نہ گھر رکھا نہ در رکھا

تمہارے سنگ در کا ایک ٹکڑا بھی جو ہاتھ آیا

عزیز ایسا کیا مر کر اسے چھاتی پہ دھر رکھا

جناں میں ساتھ اپنے کیوں نہ لے جاؤں گا ناصح کو

سلوک ایسا ہی میرے ساتھ ہے حضرت نے کر رکھا

نہ کی کس نے سفارش میری وقت قتل قاتل سے

کماں نے ہاتھ جوڑے تیغ نے قدموں پہ سر رکھا

غضب برسے وہ میرے آتے ہی معلوم ہوتا ہے

جگہ خالی جو پائی یار کو غیروں نے بھر رکھا

بڑا احساں ہے میرے سر پہ اس کی لغزش پا کا

کہ اس نے بے تحاشا ہاتھ میرے دوش پر رکھا

زمیں میں دانۂ گندم صدف میں ہم ہوے گوہر

ہمارے عجز نے ہر معرکہ میں ہم کو در رکھا

ترے ہر نقش پا کو رہ گزر میں سجدہ گہ سمجھے

جہاں تو نے قدم رکھا وہاں میں نے بھی سر رکھا

امیر اچھا شگون مے کیا ساقی کی فرقت میں

جو برسا ابر رحمت جائے مے شیشوں میں بھر رکھا

امیر مینائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha

Ameer Minai

firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha
kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha

shikast-e-dil ka baqi hum ne ghurbat mein asar rakha
likha ahl-e-watan ko KHat to ek gosha katar rakkha

barabar aaine ke bhi na samjhe qadr wo dil ki
ise zer-e-qadam rakkha use pesh-e-nazar rakkha

miTae dida-o-dil donon mere ashk-e-KHunin ne
ajab ye tifl abtar tha na ghar rakkha na dar rakkha

tumhaare sang-e-dar ka ek TukDa bhi jo hath aaya
aziz aisa kiya mar kar use chhati pe dhar rakkha

jinan mein sath apne kyun na le jaunga naseh ko
suluk aisa hi mere sath hai hazrat ne kar rakkha

na ki kis ne sifarish meri waqt-e-qatl qatil se
kaman ne hath joDe tegh ne qadmon pe sar rakkha

ghazab barse wo mere aate hi malum hota hai
jagah KHali jo pai yar ko ghairon ne bhar rakkha

baDa ehsan hai mere sar pe us ki laghzish-e-pa ka
ki is ne be-tahasha hath mere dosh par rakkha

zamin mein dana-e-gandum sadaf mein hum hue gauhar
hamare ijz ne har marka mein hum ko dar rakkha

tere har naqsh-e-pa ko rahguzar mein sajda-gah samjhe
jahan tu ne qadam rakkha wahan main ne bhi sar rakkha

amir achchha shagun-e-mai kiya saqi ki furqat mein
jo barsa abr-e-rahmat ja-e-mai shishon mein bhar rakkha

(820) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha written by Ameer Minai at UrduPoint. Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha is one of the masterpieces written by Ameer Minai. You can also find the complete poetry collection of Ameer Minai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Minai' above.

Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Firaq-e-yar Ne Bechain Mujhko Raat Bhar Rakkha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.