Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai, Urdu Ghazal By Amjad Ali Ghaznawi

Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Amjad Ali Ghaznawi. Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نغمہ جو محمل کے باہر ہے وہی محمل میں ہے

امجد علی غزنوی

نغمہ جو محمل کے باہر ہے وہی محمل میں ہے

حال میں ظاہر ہے پوشیدہ جو مستقبل میں ہے

جس کا پرتو گیسوئے شب میں مہ کامل میں ہے

اک جھلک اس حسن پوشیدہ کی تیرے دل میں ہے

جلوۂ‌ یزداں بھی رقص اہرمن بھی دل میں ہے

آدمی بھی کس قدر الجھن میں ہے مشکل میں ہے

کہہ رہا تھا ایک دیوانہ یہ ہنگام سفر

رہ نوردی میں جو راحت ہے وہی منزل میں ہے

حوصلہ مندان غواصان دریا کے لئے

زندگی موجوں میں ہے جو وہ کہاں ساحل میں ہے

اپنی فطرت پر چمن میں خار و گل تو ہیں مگر

اک تضاد مستقل اس مشت آب و گل میں ہے

جام ہے مینا ہے صہبائے جنوں افزا بھی ہے

ساقیا آ جا کہ اک تیری کمی محفل میں ہے

بے رہ و بے رہنما گرم سفر ہے قافلہ

فائدہ کیا اس طرح کی سعئ لا حاصل میں ہے

پیکر شوق و طلب بن کر جو ہے گرم سفر

ہر قدم اس راہ رو کا سرحد منزل میں ہے

مرجع الہام بن سکتا ہے کوشش ہو اگر

اک مقام ایسا بھی پنہاں آدمی کے دل میں ہے

آفتاب دل سے گرما اور چمکا دے اسے

ذرۂ حق جو نہاں گرد رہ باطل میں ہے

دل تو ہے نا آشنائے بادہ ہائے زندگی

جام و مینا کا مگر سودا سر غافل میں ہے

ڈھونڈتے رہیے مگر امجدؔ کو پا سکتے نہیں

وہ تو اب اک نور کے دریائے بے ساحل میں ہے

امجد علی غزنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai

Amjad Ali Ghaznawi

naghma jo mahmil ke bahar hai wahi mahmil mein hai
haal mein zahir hai poshida jo mustaqbil mein hai

jis ka partaw gesu-e-shab mein mah-e-kaamil mein hai
ek jhalak us husn-e-poshida ki tere dil mein hai

jalwa-e-yazdan bhi raqs-e-ahraman bhi dil mein hai
aadmi bhi kis qadar uljhan mein hai mushkil mein hai

kah raha tha ek diwana ye hangam-e-safar
rah-nawardi mein jo rahat hai wahi manzil mein hai

hausla-mandan ghawwasan-e-dariya ke liye
zindagi maujon mein hai jo wo kahan sahil mein hai

apni fitrat par chaman mein KHar-o-gul to hain magar
ek tazad-e-mustaqil is musht-e-ab-o-gil mein hai

jam hai mina hai sahba-e-junun-afza bhi hai
saqiya aa ja ki ek teri kami mahfil mein hai

be-rah-o-be-rahnuma garm-e-safar hai qafila
faeda kya is tarah ki sai-e-la-hasil mein hai

paikar-e-shauq-o-talab ban kar jo hai garm-e-safar
har qadam us rah-rau ka sarhad-e-manzil mein hai

marja-e-ilham ban sakta hai koshish ho agar
ek maqam aisa bhi pinhan aadmi ke dil mein hai

aaftab-e-dil se garma aur chamka de use
zarra-e-haq jo nihan gard-e-rah-e-baatil mein hai

dil to hai na-ashna-e-baada-ha-e-zindagi
jam-o-mina ka magar sauda sar-e-ghafil mein hai

DhunDte rahiye magar 'amjad' ko pa sakte nahin
wo to ab ek nur ke dariya-e-be-sahil mein he

(505) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai written by Amjad Ali Ghaznawi at UrduPoint. Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai is one of the masterpieces written by Amjad Ali Ghaznawi. You can also find the complete poetry collection of Amjad Ali Ghaznawi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amjad Ali Ghaznawi' above.

Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Naghma Jo Mahmil Ke Bahar Hai Wahi Mahmil Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.