Nazm Kya Hai, Urdu Nazam By Amjad Husain Hafiz Karnataki

Nazm Kya Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Amjad Husain Hafiz Karnataki. Nazm Kya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Nazm Kya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظم کیا ہے

امجد حسین حافظ کرناٹکی

شاعری کی دو صنفیں ہیں نظم و غزل

اردو میں ان کی شہرت ہے بچو اٹل

نظم پابند ہے نظم آزاد بھی

یہ کبھی نثر ہے اور معرا کبھی

نظم پابند میں وزن ہوگا میاں

اور آزاد میں بھی ہے اس کا نشاں

نظم پابند کا طرز ہے جو لطیف

اس میں پاؤ گے تم قافیہ و ردیف

نثری نظموں میں بس نثر ہی نثر ہے

وزن اور قافیہ ہے نہ ہی بحر ہے

وزن اور قافیے جن کو مشکل ہوئے

نثری نظمیں عموماً وہ کہتے لگے

وزن نظم معرا میں ہے دوستو

اس کو تم بے ردیف و قوافی کہو

مثنوی ہو قصیدہ ہو یا مرثیہ

نظم کا ملتا ہے بچو ہم کو پتا

نظم میں سلسلہ ہے خیالات کا

ایک دریا سا ہے دیکھو جذبات کا

وہ مخمس ہو یا ہو مسدس کوئی

یہ بھی اک شکل ہے نظم پابند کی

وہ غزل ہو کہ ہو نظم بچو سنو

دونوں یکساں ہیں شہرت میں بس جان لو

جوشؔ کی نظمیں مشہور ہیں ہر جگہ

ہیں غزل کے جگرؔ واقعی بادشہ

نظم میں جو کہانی کہی جائے گی

شوق سے اے میاں وہ سنی جائے گی

نظمیں سیماب و اقبال نے بھی لکھیں

جو نہایت ہی مشہور ثابت ہوئیں

کرتا ہوں بچوں کے واسطے میں دعا

نظمیں بچوں کی لکھتا ہوں حافظؔ سدا

امجد حسین حافظ کرناٹکی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazm Kya Hai

Amjad Husain Hafiz Karnataki

shairi ki do sinfen hain nazm-o-ghazal
urdu mein in ki shohrat hai bachcho aTal
nazm paband hai nazm aazad bhi
ye kabhi nasr hai aur muarra kabhi
nazm-e-paband mein wazn hoga myan
aur aazad mein bhi hai is ka nishan
nazm-e-paband ka tarz hai jo latif
is mein paoge tum qafiya-o-radif
nasri nazmon mein bas nasr hi nasr hai
wazn aur qafiya hai na hi bahr hai
wazn aur qafiye jin ko mushkil hue
nasri nazmen umuman wo kahte lage
wazn nazm-e-muarra mein hai dosto
is ko tum be-radif-o-qawafi kaho
masnawi ho qasida ho ya marsiya
nazm ka milta hai bachcho hum ko pata
nazm mein silsila hai KHayalat ka
ek dariya sa hai dekho jazbaat ka
wo muKHammas ho ya ho musaddas koi
ye bhi ek shakl hai nazm-e-paband ki
wo ghazal ho ki ho nazm bachcho suno
donon yaksan hain shohrat mein bas jaan lo
'josh' ki nazmen mashhur hain har jagah
hain ghazal ke 'jigar' waqai baadshah
nazm mein jo kahani kahi jaegi
shauq se ai miyan wo suni jaegi
nazmen simab-o-iqbaal ne bhi likhin
jo nihayat hi mashhur sabit huin
karta hun bachchon ke waste main dua
nazmen bachchon ki likhta hun 'hafiz' sada

(1179) ووٹ وصول ہوئے

You can read Nazm Kya Hai written by Amjad Husain Hafiz Karnataki at UrduPoint. Nazm Kya Hai is one of the masterpieces written by Amjad Husain Hafiz Karnataki. You can also find the complete poetry collection of Amjad Husain Hafiz Karnataki by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Amjad Husain Hafiz Karnataki' above.

Nazm Kya Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Nazm Kya Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.