ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah, Urdu Ghazal By Anjum Abbasi

ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anjum Abbasi. ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زخم مہکے ہیں گل رخوں کی طرح

انجم عباسی

زخم مہکے ہیں گل رخوں کی طرح

ہم بھی زندہ ہیں حسرتوں کی طرح

تم کو خوشبو بنا کے چھوڑیں گے

ہم میں بو باس ہے گلوں کی طرح

کتنے چہرے لگائے پھرتے ہیں

آج انسان راونوں کی طرح

روز آب حیات پیتا ہوں

روز مرتا ہوں میں گلوں کی طرح

جس کو پالا وہی تو ذہن ہم کو

ڈستا رہتا ہے ناگنوں کی طرح

تپتا رہتا ہوں ریت کے مانند

کوئی برسے تو بادلوں کی طرح

اب کہاں جائیں کس طرح جائیں

درد پھیلا ہے راستوں کی طرح

اس گرانی کے دور میں انجمؔ

اپنے سینے ہیں مقبروں کی طرح

انجم عباسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah

Anjum Abbasi

zaKHm mahke hain gul-ruKHon ki tarah
hum bhi zinda hain hasraton ki tarah

tum ko KHushbu bana ke chhoDenge
hum mein bu-bas hai gulon ki tarah

kitne chehre lagae phirte hain
aaj insan rawanon ki tarah

roz aab-e-hayat pita hun
roz marta hun main gulon ki tarah

jis ko pala wahi to zehn hum ko
Dasta rahta hai naginon ki tarah

tapta rahta hun ret ke manind
koi barse to baadalon ki tarah

ab kahan jaen kis tarah jaen
dard phaila hai raston ki tarah

is girani ke daur mein 'anjum'
apne sine hain maqbaron ki tarah

(622) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah written by Anjum Abbasi at UrduPoint. ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah is one of the masterpieces written by Anjum Abbasi. You can also find the complete poetry collection of Anjum Abbasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Abbasi' above.

ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like ZaKHm Mahke Hain Gul-ruKHon Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.