Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar, Urdu Ghazal By Anjum Fauqi Badayuni

Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anjum Fauqi Badayuni. Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مطمئن بیٹھا ہوں خود کو جان کر

انجم فوقی بدایونی

مطمئن بیٹھا ہوں خود کو جان کر

اور کیا ملتا خدا کو مان کر

میرے دشمن کی شرافت دیکھیے

دار کرتا ہے مجھے پہچان کر

ذہن و دل تفریق کے قائل نہیں

کیا کروں اپنا پرایا جان کر

دوستو روداد منزل پھر کبھی

راستہ چپ تھا مجھے پہچان کر

زندگی سے اب بھی سمجھوتا نہیں

جی لیے تیری ضرورت جان کر

اپنے اندر راستے ملنے لگے

رک گیا تھا خود کو منزل جان کر

شعر تو انجمؔ عطائے غیب ہے

فائدہ کیا لفظ و معنی چھان کر

انجم فوقی بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar

Anjum Fauqi Badayuni

mutmain baiTha hun KHud ko jaan kar
aur kya milta KHuda ko man kar

mere dushman ki sharafat dekhiye
dar karta hai mujhe pahchan kar

zehn-o-dil tafriq ke qail nahin
kya karun apna paraya jaan kar

dosto rudad-e-manzil phir kabhi
rasta chup tha mujhe pahchan kar

zindagi se ab bhi samjhauta nahin
ji liye teri zarurat jaan kar

apne andar raste milne lage
ruk gaya tha KHud ko manzil jaan kar

sher to 'anjum' ata-e-ghaib hai
faeda kya lafz-o-mani chhan kar

(669) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar written by Anjum Fauqi Badayuni at UrduPoint. Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar is one of the masterpieces written by Anjum Fauqi Badayuni. You can also find the complete poetry collection of Anjum Fauqi Badayuni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Fauqi Badayuni' above.

Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mutmain BaiTha Hun KHud Ko Jaan Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.