Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah, Urdu Ghazal By Anjum Irfani

Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anjum Irfani. Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس نے دیکھا ہے سر بزم ستم گر کی طرح

انجم عرفانی

اس نے دیکھا ہے سر بزم ستم گر کی طرح

پھول پھینکا بھی مری سمت تو پتھر کی طرح

اس کے لب کو مرے لب رہ گئے چھوتے چھوتے

میں بھی ناکام چلا آیا سکندر کی طرح

رنگ سورج کا سر شام ہوا جاتا ہے زرد

اس کا بھی گھر نہ ہو ویران مرے گھر کی طرح

درد اس عہد کی میراث ہے ڈرنا کیسا

درد کو اوڑھ لیا کرتے ہیں چادر کی طرح

لوگ ہر لمحہ بدلتے ہیں نظریے اپنے

ذہن انساں بھی طوائف کے ہے بستر کی طرح

اب کی یورش میں کہیں گر ہی نہ جائے یہ فصیل

شور رہتا ہے مرے دل میں سمندر کی طرح

کیسا اس عہد میں پیمان وفا لوگ اب تو

دوست ہر سال بدلتے ہیں کلینڈر کی طرح

لفظ آتے ہی مرے لب پہ لرز جاتے ہیں

حال دل سنتے ہیں اب وہ کسی افسر کی طرح

وہی پابندئ اوقات وہی معمولات

زندگی گھر میں بسر ہوتی ہے دفتر کی طرح

ہو گیا خاک نشیں پر یہ جھکائے نہ جھکا

کسی سر میں بھی نہ سودا ہو مرے سر کی طرح

انجمؔ اس عہد میں ٹوٹے ہوئے دل کے رشتے

جوڑنے پر بھی ہیں ادھڑے ہوئے کالر کی طرح

انجم عرفانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah

Anjum Irfani

is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah
phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah

us ke lab ko mere lab rah gae chhute chhute
main bhi nakaam chala aaya sikandar ki tarah

rang suraj ka sar-e-sham hua jata hai zard
us ka bhi ghar na ho viran mere ghar ki tarah

dard us ahd ki miras hai Darna kaisa
dard ko oDh liya karte hain chadar ki tarah

log har lamha badalte hain nazariye apne
zehn-e-insan bhi tawaif ke hai bistar ki tarah

ab ki yurish mein kahin gir hi na jae ye fasil
shor rahta hai mere dil mein samundar ki tarah

kaisa is ahd mein paiman-e-wafa log ab to
dost har sal badalte hain calender ki tarah

lafz aate hi mere lab pe laraz jate hain
haal-e-dil sunte hain ab wo kisi afsar ki tarah

wahi pabandi-e-auqat wahi mamulat
zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah

ho gaya KHak-nashin par ye jhukae na jhuka
kisi sar mein bhi na sauda ho mere sar ki tarah

'anjum' is ahd mein TuTe hue dil ke rishte
joDne par bhi hain udhDe hue collar ki tarah

(741) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah written by Anjum Irfani at UrduPoint. Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah is one of the masterpieces written by Anjum Irfani. You can also find the complete poetry collection of Anjum Irfani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anjum Irfani' above.

Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Isne Dekha Hai Sar-e-bazm Sitamgar Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.