Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai, Urdu Ghazal By Anwar Husain Anwar

Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Husain Anwar. Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ دل اسی کی اک آہٹ کے انتظار میں ہے

انور حسین انور

یہ دل اسی کی اک آہٹ کے انتظار میں ہے

جو سامنے ہے مگر پردۂ غبار میں ہے

مزہ تڑپ کا خلش آرزو کی یاس کا غم

خزاں میں لطف جو ہے خاک وہ بہار میں ہے

کبھی نہ جس سے ہوئی ایک بھی خطا سرزد

جھکائے سر وہ سزا کے لئے قطار میں ہے

اندھیری رات میں اختر شماریاں تو کرو

سمجھ بھی جاؤ گے کیا لطف انتظار میں ہے

نہیں یہ زیب بشر لا مکاں کی بات کرے

ہے دسترس سے پرے کب وہ اختیار میں ہے

یہ کانٹے بڑھ کے جو دامن کو تھام لیتے ہیں

گلوں میں ہوگی کشش پیار صرف خار میں ہے

تخیلات میں شاید ہے وصل کا منظر

قرار ہلکا سا مدت کے بے قرار میں ہے

مزہ تو جب ہو چمن ہو سدا بہار مثال

جو موسمی ہو تبسم وہ کس شمار میں ہے

جدھر بھی دیکھیے ہے رنگ و بو فضا پہ محیط

تری ہنسی کا اثر اب بھی لالہ زار میں ہے

کھلی فضاؤں میں رہ کر بھی ہم نے دیکھ لیا

وہی تو بات ہے جو صحن پردہ دار میں ہے

نفس نفس میں گھٹن اور ہر طرف ہے دھواں

فضا وہ پہلی سی اب کون سے دیار میں ہے

خرید پائے جو اس کو زمانہ ہے اس کا

سنو یہی تو صدا وقت کی پکار میں ہے

انور حسین انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai

Anwar Husain Anwar

ye dil usi ki ek aahaT ke intizar mein hai
jo samne hai magar parda-e-ghubar mein hai

maza taDap ka KHalish aarzu ki yas ka gham
KHizan mein lutf jo hai KHak wo bahaar mein hai

kabhi na jis se hui ek bhi KHata sarzad
jhukae sar wo saza ke liye qatar mein hai

andheri raat mein aKHtar-shumariyan to karo
samajh bhi jaoge kya lutf intizar mein hai

nahin ye zeb bashar la-makan ki baat kare
hai dastaras se pare kab wo iKHtiyar mein hai

ye kanTe baDh ke jo daman ko tham lete hain
gulon mein hogi kashish pyar sirf KHar mein hai

taKHaiyyulat mein shayad hai wasl ka manzar
qarar halka sa muddat ke be-qarar mein hai

maza to jab ho chaman ho sada-bahaar-e-misal
jo mausami ho tabassum wo kis shumar mein hai

jidhar bhi dekhiye hai rang-o-bu faza pe muhit
teri hansi ka asar ab bhi lala-zar mein hai

khuli fazaon mein rah kar bhi hum ne dekh liya
wahi to baat hai jo sahn-e-parda-dar mein hai

nafas nafas mein ghuTan aur har taraf hai dhuan
faza wo pahli si ab kaun se dayar mein hai

KHarid pae jo is ko zamana hai us ka
suno yahi to sada waqt ki pukar mein hai

(675) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai written by Anwar Husain Anwar at UrduPoint. Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai is one of the masterpieces written by Anwar Husain Anwar. You can also find the complete poetry collection of Anwar Husain Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Husain Anwar' above.

Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Dil Usi Ki Ek AahaT Ke Intizar Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.