Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun, Urdu Ghazal By Anwar Mirzapuri

Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Mirzapuri. Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی صورت بھی نیند آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

انور مرزاپوری

کسی صورت بھی نیند آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

کوئی شے دل کو بہلاتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

اکیلا پا کے مجھ کو یاد ان کی آ تو جاتی ہے

مگر پھر لوٹ کر جاتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

جو خوابوں میں مرے آ کر تسلی مجھ کو دیتی تھی

وہ صورت اب نظر آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

تمہیں تو ہو شب غم میں جو میرا ساتھ دیتے ہو

ستارو تم کو نیند آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

جسے اپنا سمجھنا تھا وہ آنکھ اب اپنی دشمن ہے

کہ یہ رونے سے باز آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

تری تصویر جو ٹوٹے ہوئے دل کا سہارا تھی

نظر وہ صاف اب آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

گھٹا جو دل سے اٹھتی ہے مژہ تک آ تو جاتی ہے

مگر آنکھ اس کو برساتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

ستارے یہ خبر لائے کہ اب وہ بھی پریشاں ہیں

سنا ہے ان کو نیند آتی نہیں میں کیسے سو جاؤں

انور مرزاپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun

Anwar Mirzapuri

kisi surat bhi nind aati nahin main kaise so jaun
koi shai dil ko bahlati nahin main kaise so jaun

akela pa ke mujh ko yaad un ki aa to jati hai
magar phir lauT kar jati nahin main kaise so jaun

jo KHwabon mein mere aa kar tasalli mujh ko deti thi
wo surat ab nazar aati nahin main kaise so jaun

tumhin to ho shab-e-gham mein jo mera sath dete ho
sitaro tum ko nind aati nahin main kaise so jaun

jise apna samajhna tha wo aankh ab apni dushman hai
ki ye rone se baz aati nahin main kaise so jaun

teri taswir jo TuTe hue dil ka sahaara thi
nazar wo saf ab aati nahin main kaise so jaun

ghaTa jo dil se uThti hai mizha tak aa to jati hai
magar aankh us ko barsati nahin main kaise so jaun

sitare ye KHabar lae ki ab wo bhi pareshan hain
suna hai un ko nind aati nahin main kaise so jaun

(947) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun written by Anwar Mirzapuri at UrduPoint. Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun is one of the masterpieces written by Anwar Mirzapuri. You can also find the complete poetry collection of Anwar Mirzapuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Mirzapuri' above.

Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Surat Bhi Nind Aati Nahin Main Kaise So Jaun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.