Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Anwar Panipati

Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Panipati. Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ کیسے جان گیا میں نے کچھ کہا بھی نہیں

انور پانی پتی

وہ کیسے جان گیا میں نے کچھ کہا بھی نہیں

اثر دعا میں نہیں ہے تو وہ دعا بھی نہیں

مری صدا کا یقیناً یہ واقعہ بھی نہیں

سکون دل کے لئے لب پہ اب دعا بھی نہیں

مری غزل میں اجالوں کا تذکرہ بھی نہیں

خیال ایسا کسی نے مجھے دیا بھی نہیں

بڑے خلیق پڑوسی تو ہیں محلے کے

مگر کسی کا کوئی درد جانتا بھی نہیں

یہ روشنی کی کرن کس طرح یہاں آئی

مرے مکان میں روزن کوئی بنا بھی نہیں

عجیب بات ہے محفل میں چھا گیا ہے سکوت

میں خوش گلو بھی نہیں اور خوش نوا بھی نہیں

نقوش زخم ہیں کتنے میں دیکھتا کیسے

نظر کے سامنے شفاف آئنہ بھی نہیں

انور پانی پتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin

Anwar Panipati

wo kaise jaan gaya main ne kuchh kaha bhi nahin
asar dua mein nahin hai to wo dua bhi nahin

meri sada ka yaqinan ye waqia bhi nahin
sukun-e-dil ke liye lab pe ab dua bhi nahin

meri ghazal mein ujalon ka tazkira bhi nahin
KHayal aisa kisi ne mujhe diya bhi nahin

baDe KHaliq paDosi to hain mahalle ke
magar kisi ka koi dard jaanta bhi nahin

ye raushni ki kiran kis tarah yahan aai
mere makan mein rauzan koi bana bhi nahin

ajib baat hai mahfil mein chha gaya hai sukut
main KHush-gulu bhi nahin aur KHush-nawa bhi nahin

nuqush-e-zaKHm hain kitne main dekhta kaise
nazar ke samne shaffaf aaina bhi nahin

(318) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin written by Anwar Panipati at UrduPoint. Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Anwar Panipati. You can also find the complete poetry collection of Anwar Panipati by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Panipati' above.

Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Kaise Jaan Gaya Maine Kuchh Kaha Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.