Pagalon Ki Madh Mein, Urdu Nazam By Anwar Sen Roy

Pagalon Ki Madh Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Anwar Sen Roy. Pagalon Ki Madh Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Pagalon Ki Madh Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پاگلوں کی مدح میں

انور سین رائے

پاگلوں سے نہیں

بہت ڈر لگتا ہے، مجھے

نارمل اور ذہین لوگوں سے

کچھ بھی کر سکتے ہیں

وہ

اپنی محبوبیت میں

قہر اور فتنے سے بھری

خود پسندی میں

کچھ بھی سوچ سکتے ہیں

کچھ بھی چاہ سکتے ہیں

منصوبے بنانا

اور سازشیں کرنا مشکل نہیں ہوتا

ان کے لیے

یقین رہتا ہے انہیں

کچھ بھی کر سکتی ہے ذہانت

اگر مشکل کوئی وار کرے گی

تو ڈھال بن جائے گی ذہانت

نارمل

بہت متأثر ہوتے ہیں ان سے

ان جیسا ہونا چاہتے ہیں

انہی کا ساتھ دیتے ہیں

کسی بھی عورت کے بارے میں

کچھ بھی سوچ سکتے ہیں

ذہین اور نارمل

منطق سے چلتے ہیں اور حساب سے

عشق نہیں کر سکتے اسی لیے

یہ بات تو ثابت نہیں

کہ عشق

پہلے محبوب کے دل میں پیدا ہوتا ہے

عورتیں یہ سب سمجھتی ہیں

مردوں سے کہیں زیادہ

احمق ترین لگنے والی عورت بھی

ان معاملوں میں

کہیں آگے ہوتی ہے کسی بھی مرد سے

پھر بھی

پھنس ہی جاتی ہیں بے چاری

پھنستی چلی جاتی ہے

پاگلوں کو قبول نہیں کرتیں وہ

حالانکہ وہی جانتی ہیں سب سے زیادہ

عشق تو کام ہے صرف پاگلوں کا

ناچ سکتے ہیں پاگل

ان کے خیال میں

یاد کر سکتے ہیں انہیں

پھولوں کو دیکھ کر

سن سکتے ہیں ہوا سے ان کی باتیں

جو ان کی طرف سے نہ بھی آئی ہو

درختوں کو چلتا ہوا دیکھ سکتے ہیں

ان کے ساتھ

بھری دوپہروں میں

دھوپ پر حیران ہو سکتے ہیں

ان کے مقابل کھڑا کر سکتے ہیں

دھوپ اور سائے کو پاگل

اور شاعری بن سکتی ہیں

ان کے بارے میں

صرف پاگلوں کی باتیں

انور سین رائے

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pagalon Ki Madh Mein

Anwar Sen Roy

pagalon se nahin
bahut Dar lagta hai, mujhe
normal aur zahin logon se
kuchh bhi kar sakte hain
wo
apni mahbubiyat mein
qahr aur fitne se bhari
KHud-pasandi mein
kuchh bhi soch sakte hain
kuchh bhi chah sakte hain
mansube banana
aur sazishen karna mushkil nahin hota
un ke liye
yaqin rahta hai unhen
kuchh bhi kar sakti hai zehanat
agar mushkil koi war karegi
to Dhaal ban jaegi zehanat
normal
bahut mutassir hote hain un se
un jaisa hona chahte hain
unhi ka sath dete hain
kisi bhi aurat ke bare mein
kuchh bhi soch sakte hain
zahin aur normal
mantiq se chalte hain aur hisab se
ishq nahin kar sakte isi liye
ye baat to sabit nahin
ki ishq
pahle mahbub ke dil mein paida hota hai
aurten ye sab samajhti hain
mardon se kahin ziyaada
ahmaq-tarin lagne wali aurat bhi
in muamlon mein
kahin aage hoti hai kisi bhi mard se
phir bhi
phans hi jati hain be-chaari
phansti chali jati hai
pagalon ko qubul nahin kartin wo
haalanki wahi jaanti hain sab se ziyaada
ishq to kaam hai sirf pagalon ka
nach sakte hain pagal
un ke KHayal mein
yaad kar sakte hain unhen
phulon ko dekh kar
sun sakte hain hawa se un ki baaten
jo un ki taraf se na bhi aai ho
daraKHton ko chalta hua dekh sakte hain
un ke sath
bhari dopahron mein
dhup par hairan ho sakte hain
un ke muqabil khaDa kar sakte hain
dhup aur sae ko pagal
aur shaeri ban sakti hain
un ke bare mein
sirf pagalon ki baaten

(653) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pagalon Ki Madh Mein written by Anwar Sen Roy at UrduPoint. Pagalon Ki Madh Mein is one of the masterpieces written by Anwar Sen Roy. You can also find the complete poetry collection of Anwar Sen Roy by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Sen Roy' above.

Pagalon Ki Madh Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Pagalon Ki Madh Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.