Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain, Urdu Ghazal By Aqeel Abbas Chughtai

Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aqeel Abbas Chughtai. Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں سمجھتا تھا در و بام کہاں بولتے ہیں

عقیل عباس چغتائی

میں سمجھتا تھا در و بام کہاں بولتے ہیں

پھر ترے بعد کھلا مجھ پہ کہ ہاں بولتے ہیں

یہ جو دبتی ہے مرے شور میں آواز مری

میری ہستی میں کہیں کار زیاں بولتے ہیں

اس جہاں کے متوازی بھی جہاں ہے کوئی

جو یہاں بول نہیں پاتے وہاں بولتے ہیں

متصل اس کے لبوں سے ہے یہ کار آواز

وہ اگر ہل نہ سکیں ہم بھی کہاں بولتے ہیں

اک زمانے کو بیاں کرتے ہیں لفظوں کے بغیر

مجھ سخن ساز سے بہتر تو نشاں بولتے ہیں

دیکھ اک دوجے سے ٹکرانے لگیں آوازیں

اتنا بے ڈھنگ ترے لوگ یہاں بولتے ہیں

اک خلا ہے جو صداؤں کو نگل جاتا ہے

کوئی سن ہی نہیں پاتا جو مکاں بولتے ہیں

آگ روتی ہے تو ہم کو بھی رلا دیتی ہے

یہ تو آنسو ہیں جنہیں لوگ دھواں بولتے ہیں

اشک در اشک سلاست ہے بہاؤ میں عقیلؔ

مری آنکھوں کو تبھی چشم رواں بولتے ہیں

عقیل عباس چغتائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain

Aqeel Abbas Chughtai

main samajhta tha dar-o-baam kahan bolte hain
phir tere ba'd khula mujh pe ki han bolte hain

ye jo dabti hai mere shor mein aawaz meri
meri hasti mein kahin kar-e-ziyan bolte hain

is jahan ke mutawazi bhi jahan hai koi
jo yahan bol nahin pate wahan bolte hain

muttasil us ke labon se hai ye kar-e-awaz
wo agar hil na saken hum bhi kahan bolte hain

ek zamane ko bayan karte hain lafzon ke baghair
mujh suKHan-saz se behtar to nishan bolte hain

dekh ek duje se Takrane lagin aawazen
itna be-Dhang tere log yahan bolte hain

ek KHala hai jo sadaon ko nigal jata hai
koi sun hi nahin pata jo makan bolte hain

aag roti hai to hum ko bhi rula deti hai
ye to aansu hain jinhen log dhuan bolte hain

ashk dar ashk salasat hai bahao mein 'aqil'
meri aankhon ko tabhi chashm-e-rawan bolte hain

(765) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain written by Aqeel Abbas Chughtai at UrduPoint. Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain is one of the masterpieces written by Aqeel Abbas Chughtai. You can also find the complete poetry collection of Aqeel Abbas Chughtai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aqeel Abbas Chughtai' above.

Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Samajhta Tha Dar-o-baam Kahan Bolte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.