Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم تو ہوں دل سے دور رہیں پاس اور لوگ

ارشد علی خان قلق

ہم تو ہوں دل سے دور رہیں پاس اور لوگ

سونگھیں گل عذار کی بو باس اور لوگ

واعظ ہمیں ڈرا نہ وفور گناہ سے

اس کے کرم سے ہوتے ہیں بے آس اور لوگ

سودائے عشق یاں تو ہے سر میں بھرا ہوا

نام جنوں سے کرتے ہیں وسواس اور لوگ

آزاد گان عشق ہر اک حال میں ہیں شاد

ہوں گے اسیر رنج و غم و یاس اور لوگ

ہیں سیر بوریائے توکل کے فاقہ مست

ہوتے ہیں مضطرب دم افلاس اور لوگ

یاں ہے فقط ہوس در دنداں کے دید کی

کھاتے ہیں اس کے دانتوں پہ الماس اور لوگ

سنجوگ ایک اپنا تمہارا ازل سے ہے

پوچھیں برہمنوں سے بتو راس اور لوگ

اٹھے فنا و ایک نہ اک کیا بعید ہے

اب بیٹھنے لگے ہیں ترے پاس اور لوگ

اس آب لعل پر کبھی ہم بھی محیط تھے

لب چوس کر بجھائے ہیں اب پیاس اور لوگ

ہم تو نہ گھر میں آپ کے دم بھر ٹھہرنے پائیں

روز آئیں جائیں صورت انفاس اور لوگ

اپنے نصیب میں تو نہ ہو آب خضر لب

سیراب ہوں بہ صورت الیاس اور لوگ

دیوان میں مرے نہیں بھرتی کے ایسے شعر

بھرتے ہیں جیسے صفحۂ قرطاس اور لوگ

وہ بے وفا کرے گا مری قدر کیا قلقؔ

کرتے ہیں اپنے عاشقوں کا پاس اور لوگ

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log

Arshad Ali Khan Qalaq

hum to hon dil se dur rahen pas aur log
sunghen gul-e-ezar ki bu-bas aur log

waiz hamein Dara na wafur-e-gunah se
us ke karam se hote hain be-as aur log

sauda-e-ishq yan to hai sar mein bhara hua
nam-e-junun se karte hain wiswas aur log

aazad-gan-e-ishq har ek haal mein hain shad
honge asir-o-ranj-o-gham-o-yas aur log

hain ser boriya-e-tawakkul ke faqa-mast
hote hain muztarib dam-e-iflas aur log

yan hai faqat hawas dur-e-dandan ke did ki
khate hain us ke danton pe almas aur log

sanjog ek apna tumhaara azal se hai
puchhen brahmanon se buto ras aur log

uTThe fana o ek na ek kya baid hai
ab baiThne lage hain tere pas aur log

us aab-e-lal par kabhi hum bhi muhit the
lab chus kar bujhae hain ab pyas aur log

hum to na ghar mein aap ke dam-bhar Thaharne paen
rose aaen jaen surat-e-anfas aur log

apne nasib mein to na ho aab-e-KHizr-e-lab
sairab hon ba-surat-e-ilyas aur log

diwan mein mere nahin bharti ke aise sher
bharte hain jaise safha-e-qirtas aur log

wo bewafa karega meri qadr kya 'qalaq'
karte hain apne aashiqon ka pas aur log

(459) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.