Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وعدہ خلاف کتنے ہیں اے رشک ماہ آپ

ارشد علی خان قلق

وعدہ خلاف کتنے ہیں اے رشک ماہ آپ

سچ تو یہ ہے کہ جھوٹوں کے ہیں بادشاہ آپ

دفتر سیاہ کرتے ہیں کیوں کاتب عمل

ہوں مغرب گناہوں کا میں رو سیاہ آپ

ہم سے تو دل میں آپ کے اب تک نہ گھر ہوا

کر لیتے ہیں دلوں میں یہ کس طرح راہ آپ

یہ گہہ بھی کفش خانہ ہے آخر حضور کا

تشریف یاں بھی لایا کریں گاہ گاہ آپ

محشر تلک رہے گا ان آنکھوں کو شوق دید

دیکھیں کہ اب دکھاتے ہیں تا چند راہ آپ

تشبیہ نام آنکھوں کی ہے سوجھنا محال

ساری بیاض کرتے ہیں نا حق سیاہ آپ

کچھ حسن ہی ہیں افسر خوباں نہیں حضور

ہیں ملک آن و ناز کے بھی بادشاہ آپ

عارض ابھی ہیں روپ پہ خط آنے دیجئے

کر لیجئے گا فرق سفید و سیاہ آپ

کیوں اس نے کوئے یار سے باہر نکالے پاؤں

مجنوں ہوا ہے ہاتھ سے اپنے تباہ آپ

کلمہ پڑھے حضور کا دیکھے جو سامری

رکھتے ہیں ایسی سحر کی چشم و نگاہ آپ

سب عاشقوں کے ایک سے ہوتے نہیں چین

کھوٹا کھرا پرکھنے کی رکھیے نگاہ آپ

درماندوں کا ہے کون بجز ان کے دست گیر

اپنے اپاہجوں کو وہ لیں گے نباہ آپ

مجھ رو سیہ کی ہے یہ دعا وقت باز پرس

رکھیے گا اپنے لطف و کرم پر نگاہ آپ

الفت کا کیا یہی ہے نتیجہ جہان میں

عاشق کو قتل کرتے ہیں کیوں بے گناہ آپ

دل دے کے بحر فکر میں ہو غوطہ زن عبث

دریائے عشق کی نہیں پائیں گے تھاہ آپ

عزم سفر تو ملک عدم کا ہے اے قلقؔ

کچھ اپنے ساتھ لے بھی چلے زاد راہ آپ

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap

Arshad Ali Khan Qalaq

wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
sach to ye hai ki jhuTon ke hain baadshah aap

daftar siyah karte hain kyun katib-e-amal
hun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap

hum se to dil mein aap ke ab tak na ghar hua
kar lete hain dilon mein ye kis tarah rah aap

ye gah bhi kafsh-KHana hai aaKHir huzur ka
tashrif yan bhi laya karen gah gah aap

mahshar talak rahega in aankhon ko shauq-e-did
dekhen ki ab dikhate hain ta-chand rah aap

tashbih nam aankhon ki hai sujhna muhaal
sari bayaz karte hain na-haq siyah aap

kuchh husn hi hain afsar-e-KHuban nahin huzur
hain mulk-e-an-o-naz ke bhi baadshah aap

aariz abhi hain rup pe KHat aane dijiye
kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap

kyun us ne ku-e-yar se bahar nikale panw
majnun hua hai hath se apne tabah aap

kalima paDhe huzur ka dekhe jo samri
rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap

sab aashiqon ke ek se hote nahin chain
khoTa khara parakhne ki rakhiye nigah aap

darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir
apne apahijon ko wo lenge nibah aap

mujh ru-siyah ki hai ye dua waqt-e-baz-purs
rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap

ulfat ka kya yahi hai natija jahan mein
aashiq ko qatl karte hain kyun be-gunah aap

dil de ke bahr-e-fikr mein ho ghota-zan abas
dariya-e-ishq ki nahin paenge thah aap

azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai 'qalaq'
kuchh apne sath le bhi chale zad-e-rah aap

(841) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.