Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain, Urdu Ghazal By Arshad Siddiqui

Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Siddiqui. Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فضائیں کیف بہاراں سے جب مہکتی ہیں

ارشد صدیقی

فضائیں کیف بہاراں سے جب مہکتی ہیں

تو دل میں چوٹیں تری یاد کی کسکتی ہیں

شفق کے رنگ بھی ان کا جواب لا نہ سکے

کسی کے چہرے پہ جو سرخیاں دمکتی ہیں

جنہیں تمہارا تبسم ملا ہے وہ نظریں

فضا میں نور کے نغمے بکھیر سکتی ہیں

کبھی کبھی تو ستاروں کے نرم سائے میں

کسی کے جسم کی پرچھائیاں چمکتی ہیں

قدم قدم پہ بچھاتی ہے جال تیرہ شبی

نفس نفس پہ نئی بجلیاں چمکتی ہیں

جہاں وہ آنکھیں مرا انتظار کرتی تھیں

اب ان دریچوں سے مایوسیاں ٹپکتی ہیں

سکوت شب میں ترے انتظار کا عالم

کہ جیسے دور کہیں پائلیں کھنکتی ہیں

انہیں کا نام کہیں مستیٔ بہار نہ ہو

کلی کے سینے میں جو نکہتیں دھڑکتی ہیں

ہو انتظار کسی کا مگر مری نظریں

نہ جانے کیوں تری آمد کی راہ تکتی ہیں

جب ان کے آنے کی امید ہی نہیں ارشدؔ

تو پھر نگاہیں خلاؤں میں کیوں بھٹکتی ہیں

ارشد صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain

Arshad Siddiqui

fazaen kaif-e-bahaaran se jab mahakti hain
to dil mein choTen teri yaad ki kasakti hain

shafaq ke rang bhi un ka jawab la na sake
kisi ke chehre pe jo surKHiyan damakti hain

jinhen tumhaara tabassum mila hai wo nazren
faza mein nur ke naghme bikher sakti hain

kabhi kabhi to sitaron ke narm sae mein
kisi ke jism ki parchhaiyan chamakti hain

qadam qadam pe bichhati hai jal tira-shabi
nafas nafas pe nai bijliyan chamakti hain

jahan wo aankhen mera intizar karti thin
ab un darichon se mayusiyan Tapakti hain

sukut-e-shab mein tere intizar ka aalam
ki jaise dur kahin paelen khanakti hain

unhin ka nam kahin masti-e-bahaar na ho
kali ke sine mein jo nikhaten dhaDakti hain

ho intizar kisi ka magar meri nazren
na jaane kyun teri aamad ki rah takti hain

jab un ke aane ki ummid hi nahin 'arshad'
to phir nigahen KHalaon mein kyun bhaTakti hain

(744) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain written by Arshad Siddiqui at UrduPoint. Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain is one of the masterpieces written by Arshad Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Arshad Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Siddiqui' above.

Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fazaen Kaif-e-bahaaran Se Jab Mahakti Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.