KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Arshad Siddiqui

KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Siddiqui. KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب آنکھوں میں نہیں دل میں تمنا بھی نہیں

ارشد صدیقی

خواب آنکھوں میں نہیں دل میں تمنا بھی نہیں

عشق مایوس ہوا ہو مگر ایسا بھی نہیں

ان کی الفت میں اٹھائے ہیں ہزاروں الزام

آج تک آنکھ اٹھا کر جنہیں دیکھا بھی نہیں

راہ ہستی میں نگاہیں تو بھٹک سکتی ہیں

دل بھٹک جائے مگر اتنا اندھیرا بھی نہیں

بڑھ کے آئے تھے کئی غم پئے تسکیں لیکن

غم دوراں کے مقابل کوئی ٹھہرا بھی نہیں

شرم اے بادہ گساروں کہ بھری محفل میں

بڑھ کے خود جام اٹھا لے کوئی ایسا بھی نہیں

کیا تماشا ہے کہ آئے ہیں تسلی دینے

وہ جنہیں درد شناسی کا سلیقہ بھی نہیں

ہر نظر سطح تبسم پہ ٹھہر جاتی ہے

کیا زمانے میں کوئی غم کا شناسا بھی نہیں

لاکھ نازک سہی امید کا رشتہ لیکن

دل کو احساس کی توہین گوارا بھی نہیں

زندگی کو نئے خوابوں سے سجا کر لاؤ

یہ تبسم تو مرے غم کا مداوا بھی نہیں

حادثے ہو چکے ارشدؔ غم الفت کے تمام

اب تو شاید دل مایوس تڑپتا بھی نہیں

ارشد صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin

Arshad Siddiqui

KHwab aankhon mein nahin dil mein tamanna bhi nahin
ishq mayus hua ho magar aisa bhi nahin

un ki ulfat mein uThae hain hazaron ilzam
aaj tak aankh uTha kar jinhen dekha bhi nahin

rah-e-hasti mein nigahen to bhaTak sakti hain
dil bhaTak jae magar itna andhera bhi nahin

baDh ke aae the kai gham pae taskin lekin
gham-e-dauran ke muqabil koi Thahra bhi nahin

sharam ai baada-gusaron ki bhari mahfil mein
baDh ke KHud jam uTha le koi aisa bhi nahin

kya tamasha hai ki aae hain tasalli dene
wo jinhen dard-shanasi ka saliqa bhi nahin

har nazar sath-e-tabassum pe Thahar jati hai
kya zamane mein koi gham ka shanasa bhi nahin

lakh nazuk sahi ummid ka rishta lekin
dil ko ehsas ki tauhin gawara bhi nahin

zindagi ko nae KHwabon se saja kar lao
ye tabassum to mere gham ka mudawa bhi nahin

hadse ho chuke 'arshad' gham-e-ulfat ke tamam
ab to shayad dil-e-mayus taDapta bhi nahin

(894) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin written by Arshad Siddiqui at UrduPoint. KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Arshad Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Arshad Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Siddiqui' above.

KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab Aankhon Mein Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.