Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi, Urdu Ghazal By Arshi Bhopali

Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshi Bhopali. Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi

Arshi Bhopali

raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi
lo mere panw mein ek aur bhi zanjir sahi

imtihan is dil-e-pur-shauq ka karte rahiye
aur is jurm-e-wafa par koi tazir sahi

tan-o-dushnam se diwane na baz aaenge
koi ilzam sahi tohmat-e-taqsir sahi

hum to aawara-e-sahra hain hamein kya matlab
un ki mahfil mein junun ki koi tauqir sahi

har koi yusuf-e-kanan to nahin ban sakta
mera farda hi mere KHwab ki tabir sahi

qafile kitne hi manzil se bhaTak jate hain
hum musafir na sahi hum koi rah-gir sahi

nara-e-zulf-e-sanam shart-e-junun kya mani
dard ruswa hi sahi ishq jahangir sahi

(614) ووٹ وصول ہوئے

You can read Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi written by Arshi Bhopali at UrduPoint. Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi is one of the masterpieces written by Arshi Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Arshi Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshi Bhopali' above.

Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raqs-e-ashufta-sari Ki Koi Tadbir Sahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.