Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log, Urdu Ghazal By Arvind Azaan

Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arvind Azaan. Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیسے کیسے خواب اب ہم کو دکھاتے ہیں یہ لوگ

اروند ازان

کیسے کیسے خواب اب ہم کو دکھاتے ہیں یہ لوگ

ایک پاگل کو یہاں پاگل بناتے ہیں یہ لوگ

جانے کیا اس میں رقم کر ڈالا تھا تو نے بتا

اتنی نفرت سے جو تیرا خط جلاتے ہیں یہ لوگ

میری فطرت ہے مجھے مشکل پسندی کا ہے شوق

اس لئے اکثر ہی مجھ کو آزماتے ہیں یہ لوگ

ہے گناہوں پر مجھے افسوس اور وہ دیکھیے

شرمساری سے یہاں پر منہ چھپاتے ہیں یہ لوگ

جب سے یہ ظاہر ہوا کہ دل میرا ہے آئینہ

مجھ کو آتا دیکھ کر پتھر اٹھاتے ہیں یہ لوگ

راکھ کے اک ڈھیر میں تبدیل ہوگا ایک دن

پھر نہ جانے کیوں بدن اتنا سجاتے ہیں یہ لوگ

میں سرائے کے نگہباں کی طرح تنہا رہا

دل میں مہماں کی طرح اب آتے جاتے ہیں یہ لوگ

راس آتا ہی نہیں ہے صبر کا پھل کیوں انہیں

جلد بازی میں ہمیشہ منہ کی کھاتے ہیں یہ لوگ

عمر بھر لڑتا رہا جن کے لئے میں خود اذانؔ

بن کے اب میرے مخالف سر اٹھاتے ہیں یہ لوگ

اروند ازان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log

Arvind Azaan

kaise kaise KHwab ab hum ko dikhate hain ye log
ek pagal ko yahan pagal banate hain ye log

jaane kya is mein raqam kar Dala tha tu ne bata
itni nafrat se jo tera KHat jalate hain ye log

meri fitrat hai mujhe mushkil-pasandi ka hai shauq
is liye aksar hi mujh ko aazmate hain ye log

hai gunahon par mujhe afsos aur wo dekhiye
sharmsari se yahan par munh chhupate hain ye log

jab se ye zahir hua ki dil mera hai aaina
mujh ko aata dekh kar patthar uThate hain ye log

rakh ke ek Dher mein tabdil hoga ek din
phir na jaane kyon badan itna sajate hain ye log

main sarae ke nigahban ki tarah tanha raha
dil mein mehman ki tarah ab aate jate hain ye log

ras aata hi nahin hai sabr ka phal kyon unhen
jald-bazi mein hamesha munh ki khate hain ye log

umr bhar laDta raha jin ke liye main KHud 'azan'
ban ke ab mere muKHalif sar uThate hain ye log

(822) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log written by Arvind Azaan at UrduPoint. Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log is one of the masterpieces written by Arvind Azaan. You can also find the complete poetry collection of Arvind Azaan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arvind Azaan' above.

Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaise Kaise KHwab Ab Hum Ko Dikhate Hain Ye Log, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.