Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ بن کر بے زباں لینے کو بیٹھے ہیں زباں مجھ سے

آرزو لکھنوی

وہ بن کر بے زباں لینے کو بیٹھے ہیں زباں مجھ سے

کہ خود کہتے نہیں کچھ اور کہلواتے ہیں ہاں مجھ سے

بہت کچھ حسن ظن رکھتا ہے میرا مہرباں مجھ سے

کہ تہمت دھر کے ہے خواہان تائید بیاں مجھ سے

کسی گل کی قبا ملتی نہیں تحریق سے خالی

جنوں نے لے کے بانٹی ہیں یہ کتنی دھجیاں مجھ سے

پلا ساقی کہ رہ جائے خمار کیف کا پردہ

بس اب رکتیں نہیں آتی ہوئی انگڑائیاں مجھ سے

جو گل کو گل نہ سمجھو گے تو کانٹوں ہی میں الجھو گے

نہ دو اپنے کو دھوکا آپ ہو کر بد گماں مجھ سے

بہت جلدی نہ کر اے چشم تر کچھ دیر کو دم لے

بیاں کرنا وہ تو رہ جائے جتنی داستاں مجھ سے

مثال شمع اپنی آگ میں کیا آپ جل جاؤں

قصاص خامشی لے گی کہاں تک اے زباں مجھ سے

ہوئیں تا دیر پہچانی ہوئی آواز میں باتیں

وہ کچھ کچھ کھل چلے ہیں رکھ کے پردہ درمیاں مجھ سے

تصور کی نظر پردوں کے روکے رک نہیں سکتی

بتا او جانے والے چھپ کے جائے گا کہاں مجھ سے

اگر اے آرزوؔ ہر سانس دل کی آہ بن جائے

نہ ہوگی ختم پھر بھی میری لمبی داستاں مجھ سے

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse

Arzoo Lakhnavi

wo ban kar be-zaban lene ko baiThe hain zaban mujh se
ki KHud kahte nahin kuchh aur kahlawate hain han mujh se

bahut kuchh husn-e-zan rakhta hai mera mehrban mujh se
ki tohmat dhar ke hai KHwahan-e-taid-e-bayan mujh se

kisi gul ki qaba milti nahin tahriq se KHali
junun ne le ke banTi hain ye kitni dhajjiyan mujh se

pila saqi ki rah jae KHumar-e-kaif ka parda
bas ab ruktin nahin aati hui angDaiyan mujh se

jo gul ko gul na samjhoge to kanTon hi mein uljhoge
na do apne ko dhoka aap ho kar bad-guman mujh se

bahut jaldi na kar ai chashm-e-tar kuchh der ko dam le
bayan karna wo tu rah jae jitni dastan mujh se

misal-e-shama apni aag mein kya aap jal jaun
qisas-e-KHamushi legi kahan tak ai zaban mujh se

huin ta-der pahchani hui aawaz mein baaten
wo kuchh kuchh khul chale hain rakh ke parda darmiyan mujh se

tasawwur ki nazar pardon ke roke ruk nahin sakti
bata o jaane wale chhup ke jaega kahan mujh se

agar ai 'arzu' har sans dil ki aah ban jae
na hogi KHatm phir bhi meri lambi dastan mujh se

(544) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.