Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل ہمارا ہے کہ ہم مائل فریاد نہیں

عزیز لکھنوی

دل ہمارا ہے کہ ہم مائل فریاد نہیں

ورنہ کیا ظلم نہیں کون سی بیداد نہیں

حسن اک شان الٰہی ہے مگر اے بے مہر

بے وفائی تو کوئی حسن خداداد نہیں

سر تربت وہ خموشی پہ مری کہتے ہیں

مرنے والے تجھے پیمان وفا یاد نہیں

حسن آراستہ قدرت کا عطیہ ہے مگر

کیا مرا عشق جگر سوز خدا داد نہیں

لاکھ پابند‌ علائق نہ رہے کوئی یہاں

طبع وارستہ مگر فکر سے آزاد نہیں

باہم آئین وفا رسم محبت کیسی

وقت اب وہ ہے کہ بندوں کو خدا یاد نہیں

چشم مخمور وہ ہے کابل غرق مے ناب

دفتر عشق پہ جب تک کہ مرے صاد نہیں

پوچھتے کیا ہو تباہی کا فسانہ مجھ سے

دل برباد کی صورت بھی مجھے یاد نہیں

ذرے ذرے میں ہے اک عالم معنی پنہاں

خاک برباد کو سمجھے ہو کہ آباد نہیں

آپ کہتے ہیں کہ ہے گور غریباں ویراں

ایسی بستی تو جہاں میں کوئی آباد نہیں

آنسوؤں کو بھی ذرا دیکھ لے رونے والے

ان ستاروں میں تو دنیا کوئی آباد نہیں

حسن خود میں نے کیے آئنے کے سو ٹکڑے

اب نہ کہنا کہ نگاہیں ستم ایجاد نہیں

کب خیالات پہ ممکن ہے کسی کا پہرہ

دل تو آزاد رہا میں اگر آزاد نہیں

سینہ کاوی کے لیے شرط ہے دل کی ہمت

ناخن دست جنوں تیشۂ فرہاد نہیں

بے خودی منزل عرفاں ہے ذرا ہوش میں آ

ہے خودی کا یہ نتیجہ کہ خدا یاد نہیں

طبقۂ خاک میں ہے عالم خاموش آباد

جس کو برباد سمجھتے ہو وہ برباد نہیں

دل ویراں کی تباہی کی کوئی حد ہے عزیزؔ

میں سمجھتا ہوں کہ دنیا ابھی آباد نہیں

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin

Aziz Lakhnavi

dil hamara hai ki hum mail-e-fariyaad nahin
warna kya zulm nahin kaun si bedad nahin

husn ek shan-e-ilahi hai magar ai be-mehr
bewafai to koi husn-e-KHuda-dad nahin

sar-e-turbat wo KHamoshi pe meri kahte hain
marne wale tujhe paiman-e-wafa yaad nahin

husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar
kya mera ishq-e-jigar-soz KHuda-dad nahin

lakh paband-e-alaeq na rahe koi yahan
tab-e-warasta magar fikr se aazad nahin

baham aain-e-wafa rasm-e-mohabbat kaisi
waqt ab wo hai ki bandon ko KHuda yaad nahin

chashm-e-maKHmur wo hai kabil-e-gharq-e-mai-e-nab
daftar-e-ishq pe jab tak ki mere sad nahin

puchhte kya ho tabahi ka fasana mujh se
dil-e-barbaad ki surat bhi mujhe yaad nahin

zarre zarre mein hai ek aalam-e-mani pinhan
KHak-e-barbaad ko samjhe ho ki aabaad nahin

aap kahte hain ki hai gor-e-ghariban viran
aisi basti to jahan mein koi aabaad nahin

aansuon ko bhi zara dekh le rone wale
in sitaron mein to duniya koi aabaad nahin

husn-e-KHud main ne kiye aaine ke sau TukDe
ab na kahna ki nigahen sitam-ijad nahin

kab KHayalat pe mumkin hai kisi ka pahra
dil to aazad raha main agar aazad nahin

sina-kawi ke liye shart hai dil ki himmat
naKHun-e-dast-e-junun tesha-e-farhad nahin

be-KHudi manzil-e-irfan hai zara hosh mein aa
hai KHudi ka ye natija ki KHuda yaad nahin

tabqa-e-KHak mein hai aalam-e-KHaosh-abaad
jis ko barbaad samajhte ho wo barbaad nahin

dil-e-viran ki tabahi ki koi had hai 'aziz'
main samajhta hun ki duniya abhi aabaad nahin

(560) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.