Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل آیا اس طرح آخر فریب ساز و ساماں میں

عزیز لکھنوی

دل آیا اس طرح آخر فریب ساز و ساماں میں

الجھ کر جیسے رہ جائے کوئی خواب پریشاں میں

یہ مانا ذرے ذرے پر تمہاری مہر ازل سے ہے

مگر کیا میری گنجائش نہیں شہر خموشاں میں

پتہ اس کی نگاہ وحشت افزا کا لگانا ہے

نگاہیں وحشیوں کی دیکھتا پھرتا ہوں زنداں میں

یہی ہے روح کا جوہر تم آؤ گے تو نکلے گا

دم آخر رکا ہے ایک آنسو چشم گریاں میں

مری جمعیت خاطر کا ساماں حشر کیا کرتا

قیامت ہو گئی ترتیب اجزائے پریشاں میں

فروغ لالہ و گل کا تماشا دیکھنے والے

یہ میرے دل کی چوٹیں ہیں جو ابھری ہیں گلستاں میں

عزیزؔ آرائش گلشن کی کوئی انتہا بھی ہے

وہ محو سیر گل ہیں یا گلستاں ہے گلستاں میں

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein

Aziz Lakhnavi

dil aaya is tarah aaKHir fareb-e-saz-o-saman mein
ulajh kar jaise rah jae koi KHwab-e-pareshan mein

ye mana zarre zarre par tumhaari mohr azal se hai
magar kya meri gunjaish nahin shahr-e-KHamoshan mein

pata us ki nigah-e-wahshat-afza ka lagana hai
nigahen wahshiyon ki dekhta phirta hun zindan mein

yahi hai ruh ka jauhar tum aaoge to niklega
dam-e-aKHir ruka hai ek aansu chashm giryan mein

meri jamiyat-e-KHatir ka saman hashr kya karta
qayamat ho gai tartib-e-ajza-e-pareshan mein

farogh-e-lala-o-ghul ka tamasha dekhne wale
ye mere dil ki choTen hain jo ubhri hain gulistan mein

'aziz' aaraish-e-gulshan ki koi intiha bhi hai
wo mahw-e-sair-e-gul hain ya gulistan hai gulistan mein

(642) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.