Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum, Urdu Ghazal By Aziz Qaisi

Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Qaisi. Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمیز اپنے میں غیر میں کیا تمہیں جو اپنا نہ کر سکے ہم

عزیز قیسی

تمیز اپنے میں غیر میں کیا تمہیں جو اپنا نہ کر سکے ہم

ہر ایک محفل ہوئی گوارا تمہاری محفل سے کیا اٹھے ہم

سحر پشیمان آرزو ہیں چراغ شب تھے سو جل بجھے ہم

خراج اشکوں کا خون دل سے جو ہم کو لینا تھا لے چکے ہم

نہ شمع کانپی نہ گیت ڈوبے اٹھے جو ہم ان کی انجمن سے

چلو بس اچھا ہوا کہ ایسے کہاں کے محفل فروز تھے ہم

نہ ہم سیاہی نہ ہم اجالا چراغ ہیں اشک آرزو کے

کہ ہم سر دشت بے کراں ہیں سلگتے رہتے ہیں شام سے ہم

نظر اٹھاؤ تو جھوم جائیں نظر جھکاؤ تو ڈگمگائیں

تمہاری نظروں سے سیکھتے ہیں طریق موت و حیات کے ہم

کریں جو شکوہ زباں کہاں ہے زباں میں تاب فغاں کہاں ہے

کہاں کا پردیس کیسی غربت وطن کی گلیوں میں لٹ گئے ہم

ہماری روداد مختصر ہے وفا کہاں کی جفا کہاں کی

برنگ گل مسکرا دیے وہ بہ طرز شبنم بکھر گئے ہم

عزیز قیسیؔ کہاں رہے تو کہ رات اس بت کی انجمن میں

ہجوم نغمہ میں ذکر سن کر کسی دوانے کا رو پڑے ہم

عزیز قیسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum

Aziz Qaisi

tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum
har ek mahfil hui gawara tumhaari mahfil se kya uThe hum

sahar pasheman-e-arzu hain charagh-e-shab the so jal bujhe hum
KHiraj ashkon ka KHun-e-dil se jo hum ko lena tha le chuke hum

na shama kanpi na git Dube uThe jo hum un ki anjuman se
chalo bas achchha hua ki aise kahan ke mahfil-faroz the hum

na hum syahi na hum ujala charagh hain ashk-e-arzu ke
ki hum sar-dasht-e-be-karan hain sulagte rahte hain sham se hum

nazar uThao to jhum jaen nazar jhukao to Dagmagaen
tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke hum

karen jo shikwa zaban kahan hai zaban mein tab-e-fughan kahan hai
kahan ka pardes kaisi ghurbat watan ki galiyon mein luT gae hum

hamari rudad muKHtasar hai wafa kahan ki jafa kahan ki
ba-rang-e-gul muskura diye wo ba-tarz-e-shabnam bikhar gae hum

'aziz-qaisi' kahan rahe to ki raat us but ki anjuman mein
hujum-e-naghma mein zikr sun kar kisi diwane ka ro paDe hum

(771) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum written by Aziz Qaisi at UrduPoint. Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum is one of the masterpieces written by Aziz Qaisi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Qaisi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Qaisi' above.

Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.