Parchhaiyan, Urdu Nazam By Aziz Tamannai

Parchhaiyan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aziz Tamannai. Parchhaiyan comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Parchhaiyan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پرچھائیاں

عزیز تمنائی

ذروں کے دہکتے ایواں میں

دو شعلہ بجاں لرزاں سائے

مصروف نزاع باہم ہیں

اڑ اڑ کے غبار راہ عدم

ایواں کے بند دریچوں سے

ٹکرا کے بکھرتے جاتے ہیں

کہرے میں پنپتی سمتوں سے

نازاد ہواؤں کے جھونکے

نادیدہ آہنی پردوں پر

رہ رہ کے جھپٹتے رہتے ہیں

اک پل دو پل کی بات نہیں

ذروں کے محل کی بات نہیں

ہر ریشۂ گل ہر سنگ گراں

ہر موج رواں کے سینے میں

یہ بنت ازل اور بنت ابد کی

شعلہ بجاں پرچھائیاں یوں ہی

سر گرم پیکار نہ جانے کب سے ہیں

اور ہم ہیں کہ سالک راہ بقا

ہاتھوں میں لیے فانوس فنا

ذروں سے گریزاں

سورج کی نایاب شعاعوں کے ارماں

سینوں میں چھپائے جاتے ہیں

خود کو بہلائے جاتے ہیں

عزیز تمنائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Parchhaiyan

Aziz Tamannai

zarron ke dahakte aiwan mein
do shoala-ba-jaan larzan sae
masruf-e-naza-e-baham hain
uD uD ke ghubar-e-rah-e-adam
aiwan ke band darichon se
Takra ke bikharte jate hain
kohre mein panapti samton se
nazad hawaon ke jhonke
nadida aahani pardon par
rah rah ke jhapaTte rahte hain

ek pal do pul ki baat nahin
zarron ke mahal ki baat nahin
har resha-e-gul har sang-e-giran
har mauj-e-rawan ke sine mein
ye bint-e-azal aur bint-e-abad ki
shoala-ba-jaan parchhaiyan yun hi
sar-garm-e-paikar na jaane kab se hain

aur hum hain ki salik-e-rah-e-baqa
hathon mein liye fanus-e-fana
zarron se gurezan
suraj ki nayab shuaon ke arman
sinon mein chhupae jate hain
KHud ko bahlae jate hain

(719) ووٹ وصول ہوئے

You can read Parchhaiyan written by Aziz Tamannai at UrduPoint. Parchhaiyan is one of the masterpieces written by Aziz Tamannai. You can also find the complete poetry collection of Aziz Tamannai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Tamannai' above.

Parchhaiyan is a widely read Urdu Nazam. If you like Parchhaiyan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.