Chandni Raat Mein, Urdu Nazam By Aziz Tamannai

Chandni Raat Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aziz Tamannai. Chandni Raat Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Chandni Raat Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چاندنی رات میں

عزیز تمنائی

اور میں چاندنی رات میں سو گیا

دیکھتا کیا ہوں

پھیلی ہوئی چاندنی کے کنارے کنارے

کئی برق رفتار پرچھائیاں

جانے کب سے تعاقب کناں

سمت نا آشنا کی طرف ہیں رواں

اور میں آہستہ آہستہ آگے بڑھا

راہگیروں سے دامن بچاتا ہوا

حد آفاق سے جب گزرنے لگا

دیکھتا کیا ہوں

اک بے کراں بحر ہے آسماں سے زمیں تک محیط

جس میں ہر سایۂ تیز رو ڈوب کر

دھار لیتا ہے بھیگے اجالے کا روپ

میں بھی ڈوبا ہوں اس بحر میں بارہا

چاندنی کی جھلک بھی نہ پائی کہیں

جسم و جاں کی سیاہی ابھرتی رہی

اور ہر بار تاریک ماحول میں

آنکھ کھلتی رہی

چاندنی رات میں!!

عزیز تمنائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chandni Raat Mein

Aziz Tamannai

aur main chandni raat mein so gaya
dekhta kya hun
phaili hui chandni ke kinare kinare
kai barq-raftar parchhaiyan
jaane kab se taaqub-kunan
samt-e-na-ashna ki taraf hain rawan

aur main aahista aahista aage baDha
rahgiron se daman bachata hua
hadd-e-afaq se jab guzarne laga
dekhta kya hun
ek be-karan bahr hai aasman se zamin tak muhit
jis mein har saya-e-tez-rau Dub kar
dhaar leta hai bhige ujale ka rup

main bhi Duba hun is bahr mein bar-ha
chandni ki jhalak bhi na pai kahin
jism o jaan ki siyahi ubharti rahi
aur har bar tarik mahaul mein
aankh khulti rahi
chandni raat mein!!

(1020) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chandni Raat Mein written by Aziz Tamannai at UrduPoint. Chandni Raat Mein is one of the masterpieces written by Aziz Tamannai. You can also find the complete poetry collection of Aziz Tamannai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Tamannai' above.

Chandni Raat Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Chandni Raat Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.