Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe, Urdu Ghazal By Basheer Dada

Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Basheer Dada. Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سفر میں راستہ جو پر خطر ملا تھا مجھے

بشیر دادا

سفر میں راستہ جو پر خطر ملا تھا مجھے

بہت ہی خوب تھا کیوں راہبر ملا تھا مجھے

جہاں میں جب کوئی جنس گراں شناس نہ تھا

تو اتنا بیش بہا کیوں گہر ملا تھا مجھے

پھر اس کے بعد مرا سر رہا نہ شانوں پر

دیار عشق میں وہ سنگ در ملا تھا مجھے

میں تا حیات فرشتوں کے پر کتر لیتا

جگر کا درد مگر مختصر ملا تھا مجھے

چمن میں یار شرر بار کی خدائی میں

شجر ملا تھا نہ کوئی ثمر ملا تھا مجھے

جو چاہتا اسے میں بھی تباہ کر دیتا

اسی کے قرب میں ایسا ہنر ملا تھا مجھے

سنا تھا سورۂ اخلاص میں نے آذر سے

صنم کدے میں خدا کا ہی گھر ملا تھا مجھے

ہے معجزہ کہ وہ سدرہ مقام تک پہنچا

جو ایک طائر بے بال و پر ملا تھا مجھے

یہ میری آبلہ پائی مجھے مبارک ہو

وہ دن یہی تھا کہ اذن سفر ملا تھا مجھے

کبھی بشیرؔ کو میں نے جنوں میں دیکھا تھا

عجیب صاحب فہم و نظر ملا تھا مجھے

بشیر دادا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe

Basheer Dada

safar mein rasta jo pur-KHatar mila tha mujhe
bahut hi KHub tha kyun rahbar mila tha mujhe

jahan mein jab koi jins-e-garan-shanas na tha
to itna besh-baha kyun guhar mila tha mujhe

phir us ke baad mera sar raha na shanon par
dayar-e-ishq mein wo sang-e-dar mila tha mujhe

main ta-hayat farishton ke par kutar leta
jigar ka dard magar muKHtasar mila tha mujhe

chaman mein yar-e-sharar-bar ki KHudai mein
shajar mila tha na koi samar mila tha mujhe

jo chahta use main bhi tabah kar deta
usi ke qurb mein aisa hunar mila tha mujhe

suna tha sura-e-iKHlas main ne aazar se
sanam-kade mein KHuda ka hi ghar mila tha mujhe

hai moajiza ki wo sidra maqam tak pahuncha
jo ek tair-e-be-baal-o-par mila tha mujhe

ye meri aabla-pai mujhe mubarak ho
wo din yahi tha ki izn-e-safar mila tha mujhe

kabhi 'bashir' ko main ne junun mein dekha tha
ajib sahab-e-fahm-o-nazar mila tha mujhe

(526) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe written by Basheer Dada at UrduPoint. Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe is one of the masterpieces written by Basheer Dada. You can also find the complete poetry collection of Basheer Dada by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Basheer Dada' above.

Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.