Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain, Urdu Ghazal By Bayan Ahsanullah Khan

Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bayan Ahsanullah Khan. Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو زمیں پر فراغ رکھتے ہیں

بیاں احسن اللہ خان

جو زمیں پر فراغ رکھتے ہیں

آسماں پر دماغ رکھتے ہیں

ساقی بھر بھر انہیں کو دے ہے شراب

جو کہ لبریز ایاغ رکھتے ہیں

تیرے داغوں کی دولت اے گل رو

ہم بھی سینے میں باغ رکھتے ہیں

حاجت شمع کیا ہے تربت پر

ہم کہ دل سا چراغ رکھتے ہیں

آپ کو ہم نے کھو دیا ہے بیاںؔ

آہ کس کا سراغ رکھتے ہیں

بیاں احسن اللہ خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain

Bayan Ahsanullah Khan

jo zamin par faragh rakhte hain
aasman par dimagh rakhte hain

saqi bhar bhar unhin ko de hai sharab
jo ki labrez ayagh rakhte hain

tere daghon ki daulat ai gul-ru
hum bhi sine mein bagh rakhte hain

hajat-e-shama kya hai turbat par
hum ki dil sa charagh rakhte hain

aap ko hum ne kho diya hai 'bayan'
aah kis ka suragh rakhte hain

(550) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain written by Bayan Ahsanullah Khan at UrduPoint. Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain is one of the masterpieces written by Bayan Ahsanullah Khan. You can also find the complete poetry collection of Bayan Ahsanullah Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bayan Ahsanullah Khan' above.

Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Zamin Par Faragh Rakhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.