Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho, Urdu Ghazal By Bayan Ahsanullah Khan

Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bayan Ahsanullah Khan. Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یا رب نہ ہند ہی میں یہ ماٹی خراب ہو

بیاں احسن اللہ خان

یا رب نہ ہند ہی میں یہ ماٹی خراب ہو

جا کر نجف میں خاک در بو تراب ہو

سایہ کرے وہ لطف سے سایہ جسے نہ تھا

جس وقت روز حشر میں گرم آفتاب ہو

حاصل ہو اس نفس کو صفت مطمئنہ کی

پیش اس سے ارجعی کا ادھر سے خطاب ہو

جب چشم بستگی ہو مجھے اس جہان میں

آنکھوں کے سامنے وہی عالی جناب ہو

اے یار یاں تو منہ نہ دکھایا کبھو ہمیں

ایسا نہ ہو کہ واں بھی بیاںؔ سے حجاب ہو

بیاں احسن اللہ خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho

Bayan Ahsanullah Khan

ya rab na hind hi mein ye maTi KHarab ho
ja kar najaf mein KHak-e-dar-e-bu-turab ho

saya kare wo lutf se saya jise na tha
jis waqt roz-e-hashr mein garm aaftab ho

hasil ho is nafs ko sifat mutmainna ki
pesh is se irjai ka udhar se KHitab ho

jab chashm bastagi ho mujhe is jahan mein
aankhon ke samne wahi aali-janab ho

ai yar yan to munh na dikhaya kabhu hamein
aisa na ho ki wan bhi 'bayan' se hijab ho

(504) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho written by Bayan Ahsanullah Khan at UrduPoint. Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho is one of the masterpieces written by Bayan Ahsanullah Khan. You can also find the complete poetry collection of Bayan Ahsanullah Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bayan Ahsanullah Khan' above.

Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ya Rab Na Hind Hi Mein Ye MaTi KHarab Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.