Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona, Urdu Ghazal By Bekhud Mohani

Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bekhud Mohani. Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں بھی دیکھا نہ کبھی درد کا درماں ہونا

بیخود موہانی

یوں بھی دیکھا نہ کبھی درد کا درماں ہونا

ہائے وہ نشتر مژگاں کا رگ جاں ہونا

وہ تمناؤں کا رہ رہ کے پریشاں ہونا

وہ تری یاد کا دل میں ترے مہماں ہونا

پردے پردے میں ترے وصل کا ساماں ہونا

درد پنہاں کا ترا غمزۂ پنہاں ہونا

محشر ناز ہیں ذرات فضائے کونین

اللہ اللہ کسی کافر کا خراماں ہونا

ہر گھڑی اک نئے عالم کی خبر دیتا ہے

مرا ہنسنا مرا رونا مرا حیراں ہونا

جوش آبادیٔ دنیا سے محبت یعنی

دل حسرت زدہ کا محشر حرماں ہونا

آہ میں ہوں وہ سیہ بخت کہ تقدیر میں تھا

برق سے میرے نشیمن کا چراغاں ہونا

خیر اپنی نہیں تجھ کو یہ کہے دیتا ہے

اپنی ہر ایک ادا پر ترا حیراں ہونا

جلوۂ بزم ازل جلوۂ طور محشر

ہے مرے شوق کے اجزا کا پریشاں ہونا

دیکھیے ناز تغافل کو دکھائے کیا رنگ

اشک حسرت کا سر دامن مژگاں ہونا

وادیٔ معرفت و شوق کے اللہ رے نصیب

جس کی قسمت میں تھا بیخودؔ کا بیاباں ہونا

بیخود موہانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona

Bekhud Mohani

yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona
hae wo nashtar-e-mizhgan ka rag-e-jaan hona

wo tamannaon ka rah rah ke pareshan hona
wo teri yaad ka dil mein tere mehman hona

parde parde mein tere wasl ka saman hona
dard-e-pinhan ka tera ghamza-e-pinhan hona

mahshar-e-naz hain zarraat-e-faza-e-kaunain
allah allah kisi kafir ka KHiraman hona

har ghaDi ek nae aalam ki KHabar deta hai
mera hansna mera rona mera hairan hona

josh-e-abaadi-e-duniya se mohabbat yani
dil-e-hasrat-zada ka mahshar-e-hirman hona

aah main hun wo siyah-baKHt ki taqdir mein tha
barq se mere nasheman ka charaghan hona

KHair apni nahin tujh ko ye kahe deta hai
apni har ek ada par tera hairan hona

jalwa-e-bazm-e-azal jalwa-e-tur-e-mahshar
hai mere shauq ke ajza ka pareshan hona

dekhiye naz-e-taghaful ko dikhae kya rang
ashk hasrat ka sar-e-daman-e-mizhgan hona

wadi-e-marifat-o-shauq ke allah re nasib
jis ki qismat mein tha 'beKHud' ka bayaban hona

(721) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona written by Bekhud Mohani at UrduPoint. Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona is one of the masterpieces written by Bekhud Mohani. You can also find the complete poetry collection of Bekhud Mohani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bekhud Mohani' above.

Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun Bhi Dekha Na Kabhi Dard Ka Darman Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.