Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par, Urdu Ghazal By Bismil Dehlavi

Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bismil Dehlavi. Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ گری ہے برق کہ الامان مرے آشیان قرار پر

بسمل دہلوی

وہ گری ہے برق کہ الامان مرے آشیان قرار پر

مگر اعتماد ہے آج بھی تری بات پر ترے پیار پر

مری سب دعائیں قبول ہیں مجھے اور کچھ نہیں چاہئے

مرے پاس ہے مئے غم ربا مرا سر ہے زانوئے یار پر

مری کامیابیٔ عشق پر یہ فضائیں کیوں نہیں جھومتیں

ابھی روشنی سی ہوئی تھی کچھ ابھی آئے تھے وہ مزار پر

یہی بندگی ہے مرے لیے یہی سجدہ ہے مرے واسطے

نظر اٹھی اٹھ کے ٹھہر گئی تری خاک راہ گزار پر

مجھے کیا ستائے گی کشمکش میں چمن کا نبض شناس ہوں

نہ خزاں سے مجھ کو کبیدگی نہ نگاہ میری بہار پر

یہ گلوں پہ کس نے ستم کیا ہوا کون غنچوں سے بے ادب

کوئی گل فروش نہ ہو یہاں ہے شکن جبین بہار پر

یہ نوازش ستم آفریں وہ ادھر سے ہو کے گزر گئے

کہ نگاہ بھی نہ اٹھا سکے مری حسرتوں کے مزار پر

یہی میرا مسلک زیست ہے یہی میرا مذہب عین ہے

نہ خزاں کی ہجو لکھی کبھی نہ کہا قصیدہ بہار پر

یہ چمک اٹھا بھی تو تابکے یہ رسا ہوا بھی تو تا کجا

مجھے علم مدت عمر ہے ہنسی آ رہی ہے شرار پر

وہی اپنا بسملؔ بادہ کش جو ملا بھی ہے تو کہاں ملا

کبھی میکدے کی فضاؤں میں کبھی آستانۂ یار پر

بسمل دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par

Bismil Dehlavi

wo giri hai barq ki al-aman mere aashiyan-e-qarar par
magar e'timad hai aaj bhi teri baat par tere pyar par

meri sab duaen qubul hain mujhe aur kuchh nahin chahiye
mere pas hai mai-e-gham-ruba mera sar hai zanu-e-yar par

meri kaamyabi-e-ishq par ye fazaen kyon nahin jhumtin
abhi raushni si hui thi kuchh abhi aae the wo mazar par

yahi bandagi hai mere liye yahi sajda hai mere waste
nazar uTThi uTh ke Thahar gai teri KHak-e-rahguzar par

mujhe kya sataegi kashmakash main chaman ka nabz-shanas hun
na KHizan se mujh ko kabidagi na nigah meri bahaar par

ye gulon pe kis ne sitam kya hua kaun ghunchon se be-adab
koi gul-farosh na ho yahan hai shikan jabin-e-bahaar par

ye nawazish-e-sitam-afrin wo udhar se ho ke guzar gae
ki nigah bhi na uTha sake meri hasraton ke mazar par

yahi mera maslak-e-zist hai yahi mera mazhab-e-ain hai
na KHizan ki hajw likhi kabhi na kaha qasida bahaar par

ye chamak uTha bhi to ta-ba-ke ye rasa hua bhi to ta-kuja
mujhe ilm-e-muddat-e-umr hai hansi aa rahi hai sharar par

wahi apna 'bismil'-e-baada-kash jo mila bhi hai to kahan mila
kabhi mai-kade ki fazaon mein kabhi aastana-e-yar par

(602) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par written by Bismil Dehlavi at UrduPoint. Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par is one of the masterpieces written by Bismil Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Bismil Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bismil Dehlavi' above.

Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Giri Hai Barq Ki Al-aman Mere Aashiyan-e-qarar Par, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.